MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Shayari games (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=125)
-   -   ''Dost / Ahbaab'' (دوستی پر اشعار) (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=89301)

cutepoison 09-14-2012 09:35 AM

Re: ''Dost / Ahbaab'' (دوستی پر اشعار)
 
Quote:

Originally Posted by Miss Habib (Post 1619930)
bohat zabardst thread hai Mahi

Saira, akhrot, Noor and Mahi
bohat zabardst sharing ki app logon ne

meri sharing nahi pasand aii aap ko :bshy:

Miss Habib 09-14-2012 11:54 AM

Re: ''Dost / Ahbaab'' (دوستی پر اشعار)
 
Quote:

Originally Posted by cutepoison (Post 1619937)
meri sharing nahi pasand aii aap ko :bshy:

oh sorry
maine tumhari sharing dekhi hi nahi :0027:

M A H i 09-14-2012 07:11 PM

Re: ''Dost / Ahbaab'' (دوستی پر اشعار)
 
Thank you to all of you for participating and an encouraging feedback.
keep it up guys : )

M A H i 09-14-2012 07:43 PM

Re: ''Dost / Ahbaab'' (دوستی پر اشعار)
 
Quote:

Originally Posted by saira111 (Post 1619813)
Kia keh dia mahi???...:)
Well, u ka msg dekha sure i will definatily contribute.....

Many Thanks Saira

.
.
.
Kuch Ye k muddaton se ,Hum Bhi nahi they royee
Kuch zeher main shamil tha ehbaab ka dilasa


Quote:

Originally Posted by Noor ul huda (Post 1619694)

app kay Intikhab say lag raha hay app nay dosti ka bas negative rukh hi dekhaya hay MaHi?

hmmm...

.
.
.

Girti hui Dewaar ka humdard hun lekin
Charhte hue Sooraj ki prastish nhi krta

Humdardi-e-ehbaab se darta hun MOHSIN
Me zakhm tu rakhta hon Numaish nhi krta !!!

Quote:

Originally Posted by cutepoison (Post 1619895)
One of My favorite ....

*-*-*-*-*-*-*-*

Jab gharz hoi tab yaad kiya, Jab waqt mila tab waaar kiya .....
Ab aur haqeeqat kya likhoon, Is dour k mukhlis dostoon ki .... !!!

*-*-*-*-*-*-*-

Bhout Umda C.P

.
.
.
Dushmano se pashemaan hona padaa hai
Doston ka khuloos aazmaane ke baad...


Quote:

Originally Posted by Miss Habib (Post 1619933)
Kisi se kia gila “Dost” ye dastoor hai zamane ka
Naye jab yar milte hain purane bhool jate hain

[/center]

Nice One Miss

.
.
.
Bay-Faida Hai Zeest Mein ehbaab Ka Hajoom,
Ho Paykar-e-Khaloos To Kafi Hai Aik Shakhs.

saira111 09-15-2012 06:09 AM

Re: ''Dost / Ahbaab'' (دوستی پر اشعار)
 
wo bazahir jo zamany say juda lagt ahai
hans kay bolay to dunya say juda lagta hai

or kuch dair na bujhnay day isay rab e sehar
dobta chand mera dast e dua lagta hai

jaisay mu phair kay raste say hawa guzri hai
aisay mousam main to jungle bhi hara lagta hai

shehar ki bheer main khulte hain kahan us kay nakosh
ao tanhai main sochain kay wo kia lagta hai

moun chupay hoay guzra hai jo ahbab say aj
us ki ankhon man koi zakham naya lagta hai

ab to mohsin kay tasawur main utar a rab e jalil
is udasi main to pathar bhi khuda lagta hai

Miss Habib 09-15-2012 12:58 PM

Re: ''Dost / Ahbaab'' (دوستی پر اشعار)
 
Dushman se barh ke koi ni aadmi ka Dost,
Manzoor apne haal ki islaah go agar

M A H i 09-16-2012 08:20 PM

Re: ''Dost / Ahbaab'' (دوستی پر اشعار)
 
Quote:

Originally Posted by saira111 (Post 1620733)
wo bazahir jo zamany say juda lagt ahai
hans kay bolay to dunya say juda lagta hai

or kuch dair na bujhnay day isay rab e sehar
dobta chand mera dast e dua lagta hai

jaisay mu phair kay raste say hawa guzri hai
aisay mousam main to jungle bhi hara lagta hai

shehar ki bheer main khulte hain kahan us kay nakosh
ao tanhai main sochain kay wo kia lagta hai

moun chupay hoay guzra hai jo ahbab say aj
us ki ankhon man koi zakham naya lagta hai

ab to mohsin kay tasawur main utar a rab e jalil
is udasi main to pathar bhi khuda lagta hai

Superb Sharing Saira
TFS

Shaam 09-16-2012 08:24 PM

Re: ''Dost / Ahbaab'' (دوستی پر اشعار)
 
دوستوں کے ہجوم میں ناصر
میرے اندر کا شخص تنہا ہے

M A H i 09-16-2012 08:30 PM

Re: ''Dost / Ahbaab'' (دوستی پر اشعار)
 
Rota Hun To Ahbaab Bura Maante Hain

Hansta Hun To Mujrim Mujhe Gardante Hain

Har Haal Mai Aetiraaz Karne Waale

Nadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain?

Miss Habib 09-17-2012 12:33 PM

Re: ''Dost / Ahbaab'' (دوستی پر اشعار)
 
main zakham zakham us se galey mil k kion hoa
wo dost thha to soorat-e-shamser kon thha


All times are GMT +5. The time now is 07:23 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.