-:||:- John Elia -:||:- - Page 3 - MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

link| link| link
MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community » Poetry » Urdu Poetry Categories » Great Urdu Poets&Poetry » -:||:- John Elia -:||:-
Great Urdu Poets&Poetry Share All Great Urdu Poets Poetry Here

Advertisement
 
Post New Thread  Reply
 
Thread Tools Display Modes
(#21)
Old
Owi Owi is offline
 


Posts: 6,356
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Apr 2010
Location: Bay Aawaaz Gali Koochon Mein !
Gender: Male
Default Re: -:||:- John Elia -:||:- - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-07-2011, 12:56 PM

Thankx For Visiting Dreamooo, Afghani Laila and Rooz
Keep Visiting Guys
Thankx Ayaz For Making This Thread Sticky
And Thankx For Shairing A Beautiful Poem Life
Keep shairing

 





•||•––––•||•––•Owi•––•||•––––•||•

Last edited by Owi; 07-08-2011 at 07:25 PM..
Sponsored Links
(#22)
Old
Owi Owi is offline
 


Posts: 6,356
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Apr 2010
Location: Bay Aawaaz Gali Koochon Mein !
Gender: Male
New Re: -:||:- Bay-Maani By John Elia -:||:- - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-07-2011, 01:16 PM

-:||:- Bay-Maani -:||:-


Hai meri zaat ik ziyaan ki dukaan
Mujh ko apna hisaab kya maaloom
Jab mujhay bhi nahi koi ehsaas
Tum ko mera azaab kya maaloom

Her kisi say bicher gaya hoon main
Kon dil mein mera malaal rakhay
Sheher-e-hasti ka ajnabi hoon main
Kon aakhir mera khayaal rakhay

Raayegaani hai zindagi meri
Main to khud mein bhi raayegaan hi gaya
Bay-gumaani si bay-gumaani hai
Mujh say to khud mera gumaan bhi gaya

Koi bhi mujh ko aasra na mila
Main bhatakta raha hoon shehron mein
Zindagi tishnagi ka deriyaa hai
Hai faqat gard dil ki lehron mein

Wasl k silsilay to kya ab to
Hijr k silsilay hein bay-maani
Koi rishta hi jab kisi say nahi
Dil k saaray gilay hein bay-maani

Roz-o-shab ab yunhi guzertay hein
Koi qisaa ho jaan-o-jaanaa ka
Kerb-e-bay-maajraai sehta hoon
Kuch to ho maajra dil-o-jaan ka

Her nafas hai kisi mufr ki talaash
Mujh ko apnay hisaar mein lay lo
Mera ab khud pay ikhtiyaar nahi
Tum mujhay ikhtiyaar mein lay lo

Meray ander bhi dil k derr waa hon
Yaani meray bhi koi maani hon.

 





•||•––––•||•––•Owi•––•||•––––•||•

Last edited by Owi; 07-08-2011 at 07:26 PM..
(#23)
Old
Owi Owi is offline
 


Posts: 6,356
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Apr 2010
Location: Bay Aawaaz Gali Koochon Mein !
Gender: Male
Default Re: -:||:- Main Bhi Bohat Ajeeb Hoon By John Elia -:||:- - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-07-2011, 01:22 PM

-:||:- Main Bhi Bohat Ajeeb Hoon -:||:-


Haal ye hai k khuwaahish-e-pursish-e-haal bhi nahi
Us ka khayaal bhi nahi apna khayaal bhi nahi

A shajar-e-hayat-e-shoq, aisi khizaan raseedgi !
Poshish-e-berg-o-gull to kya jism pay chaal bhi nahi

Mujh mein wo shakhs ho chukka jis ka koi hisaab tha
Sood hai kya, ziyaan hai kya, is ka sawaal bhi nahi

Mast hein apnay haal mein dil zad-gaan-o-dil-baraan
Sulah-o-salaam to kaja, behus-o-jadaal bhi nahi

Tu mera hosla to dekh, daad to day k ab mujhay
Shoq-e-kamaal bhi nahi, khouf-e-zawaal bhi nahi

Khaima-gaah-e-nigaah ko loot liya gaya hai kya ?
Aaj ufaq k dosh per gard ki shaal bhi nahi

Uffhhh ye fizaa-e-ehtiyaat, taa kaheen urr na jaayein hum
Baad-e-junoob bhi nahi, baad-e-shumaal bhi nahi

Wajha-e-muaash-e-bay-dilaan, yaas hai ab mager kahaan
Us k wurood ka gumaan, farz-e-muhaal bhi nahi

Ghaarat-e-roz-o-shab to dekh, waqt ka ye ghazab to dekh
Kal to nidhaal bhi tha main, aaj nidhaal bhi nahi

Meray zamaan-o-zaat ka hai ye muaamlaa k ab
Subh-e-firaaq bhi nahi, shaam-e-wisaal bhi nahi

Pehlay hamaaray zehan mein husun ki ik misaal thi
Ab to hamaaray zehan mein koi misaal bhi nahi

Main bhi bohat ajeeb hoon itna ajeeb hoon k bas
Khud ko tabaah ker liya or malaal bhi nahi.

 





•||•––––•||•––•Owi•––•||•––––•||•

Last edited by Owi; 07-08-2011 at 07:26 PM..
(#24)
Old
AYAZ's Avatar
AYAZ AYAZ is offline
 


Posts: 12,370
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: Karachi
Gender: Male
Default Re: -:||:- jhon aliya -:||:- - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-07-2011, 01:37 PM

thanks for adding his images warna hum ko ain ke barey mei nahi pata tha really.

 







ALLAH FARMATA HAI :
AEY BANDEY JO HUA
WO ACHA HUA .
JO HORAHA HAI ACHA HO RAHA HAI.
JO HOGA WO BHI ACHA HOGA.
TERA KIYA GAIYA JO TU ROTA HAI
TU KIA LAYA JO TU NE KHO DIYA.
JO LIYA YAHIN (DUNYA) SEI LIYA
JO DIYA YAHIN (DUNYA) PE DIYA
JO AAJ TERA HAI PEHLAY KISI AUR KA THA
AUR KAL KISI AUR KA HOGA.
TABDEELI KAINAAT KA MAMOOL HAI
BAS TU WO JAMA KAR JO TU SATH LEI KAR JANEY WALA HAI
YANI NAIK AMAAL.


(#25)
Old
SALMAN SALMAN is offline
Banned
 


Posts: 630
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jun 2010
Location: Lucknow ( I N D I A )
Gender: Male
Default Re: -:||:- jhon aliya -:||:- - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-07-2011, 02:33 PM

Hazaron saal Nargis apni be-noori pe roti hai,
Badi mushkil se hota hai chaman mein didawar paida !!

Thanks for creating this useful & Inspiring Post about Mr. John Elia

information

Attention

(mujhe is baat par hairat aur sharm dono aati hain ki aap logon ko inka sahi naam bhi nahi pata hai aur na sahi spelling.. U have to know that the proper name has its dignity .. so please be respectful about proper names)




 

(#26)
Old
Owi Owi is offline
 


Posts: 6,356
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Apr 2010
Location: Bay Aawaaz Gali Koochon Mein !
Gender: Male
Default Re: -:||:- John Elia -:||:- - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-07-2011, 02:36 PM

Thankx for Visiting This Thread Salman
And Thankx For Shairing A Beautiful Ghazal Of Jhon aliya
Keep Visiting And Shairing Too

 





•||•––––•||•––•Owi•––•||•––––•||•

Last edited by Owi; 07-08-2011 at 07:27 PM..
(#27)
Old
SHAYAN SHAYAN is offline
 


Posts: 84,290
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Gender: Male
Default Re: -:||:- jhon aliya -:||:- - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-07-2011, 02:36 PM

Thnx 4 Sharing Bro
Aj 1st Time Inke Barey Me Parha Wese Naam Suna Hua Tha

Acha Laga Thnx..

 

(#28)
Old
SALMAN SALMAN is offline
Banned
 


Posts: 630
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jun 2010
Location: Lucknow ( I N D I A )
Gender: Male
Default Re: -:||:- jhon aliya -:||:- - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-07-2011, 03:00 PM

Quote:
Originally Posted by owi View Post
thankx for visiting this thread salman
and thankx for shairing a beautiful ghazal of jhon aliya
keep visiting and shairing too

Itna kahne ke baad bhi aap ne name sahi nahi likha
His name is

"John Elia"


(jo log sahi jaan kar bhi sahi nahi bante unko kya kahte hain??? U know it)

 

(#29)
Old
life life is offline
 


Posts: 32,565
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Gender: Female
Default Re: -:||:- jhon aliya -:||:- - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-08-2011, 04:40 PM

welcome Owi...

 

(#30)
Old
life life is offline
 


Posts: 32,565
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Gender: Female
Default Re: -:||:- jhon aliya -:||:- - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   07-08-2011, 04:42 PM

Tum haqeeqat nahi ho hasrat ho -- Juan Elia


tum haqeeqat nahi ho hasrat ho
jo miley Khuwab maiN voh daulat ho

tum ho Khushboo, ke Khuwab ki Khushboo
aur itney he bai_murawwat ho

tum ho pehloo maiN parr qarar nahi
yani aisa hai jaisey furqat ho

hai meri arzoo ke mere siva
tumhaiN sab shaieerooN se vehshat ho

kis tarah chood.r tumhaiN jaanaaN
tum meri zindagee ki adat ho

kis liye dekhtey ho aaina
tum to khud se bhi Khoobsoorat ho

dastaaN Khatam honey wali hai
tum meri aaKhri mohabbat ho

 

Post New Thread  Reply

Bookmarks

Tags
aliya, elia, jhon, john

« Previous Thread | Next Thread »
Thread Tools
Display Modes

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
elton john - candle in the wind (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) Share Your Favourite Videos 3 05-27-2011 08:55 PM
Syringa by John Ashbery !«╬Ĵamil Malik╬«! English Poetry 13 09-03-2010 08:16 PM
Just Walking Around by John Ashbery !«╬Ĵamil Malik╬«! English Poetry 14 09-03-2010 08:15 PM
John Vs Abhishikh Hussain Polling both 16 03-02-2009 09:39 PM
John Cena Vs Batista Dast-e-Tanhai Polling both 6 02-09-2009 03:51 PM


All times are GMT +5. The time now is 05:05 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.

All the logos and copyrights are the property of their respective owners. All stuff found on this site is posted by members / users and displayed here as they are believed to be in the "public domain". If you are the rightful owner of any content posted here, and object to them being displayed, please contact us and it will be removed promptly.

Nav Item BG