![]() |
ہمارا دور تک کوئی نہیں ہے سہارا دور تک کوئی نہیں ہے ہمیں پھر سے ملیں گے گزرے موسم اشارہ دور تک کوئی نہیں ہے ملا ہے آسماں مجھ کو جس میں ستارہ دور تک کوئی نہیں ہے میں گہرے پانیوں میں گِھر گیا ہوں کنارا دور تک کوئی نہیں ہے کھڑا ہوں میں اکیلا رہ گزر پر پکارا دور تک کوئی نہیں ہے عمر کچھ ایسے اب تُو جل رہا ہے شرارہ دور تک کوئی نہیں ہے |
NahiN mil raha hey yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhay sun aey jus'tuju dey jawaab tu ke ley aai hey ye kahaaN mujhay! wo sabaq meiN parrh ke bhula chuka ke Asool banatey heiN zindagi mujhey mantaqi si daleel dey, ye muhawarey na suna mujhay tujhey kya khabar mAiN dil meiN dard, leeye phir raha hooN ajab ajab teri mashq puraani hey yaar tu, kya ghaao dey ga naya mujhay nahiN kuch gila ke ye sab hey kya, bhaley kuch ajab hey ye maajra ke merey aik jurm pe baar baar, koi dey raha hey sazaa mujhay ye jo chaahatoN ke bazaar heiN yahaaN bik rahae hein sabhi magar yahaaN kon ley ga wafaa ki jinSs, bhala kya miley ga nafaa mujhay! merey hum'nawa bhala meiN kahaN, terey waastey mujhey bhool ja tu ney khuwahishoN ke aoraaq par, kaheeiN likh diya tou mitta mujhey yuN diyyae na rakh merey haath pe ke katteiN ge nahi phir raastey kabhi rok leiN gi baarisheiN tou kabhi tang karey gi hawaa mujhey kattaa zindagi ka katthin safar, maiN muflisi meiN maraa magar meiN gulshanoN ka makeen tha, zara khushbuweiN tou laga mujhey.....!! |
boht ummid rakhna aur phir be_aas hona bhi bashar ko maar daita hai boht hassas hona bhi suno ikk kaan se aur doosre se phaink do baahar boht nuqsan de hai saheb e ahsas hona bhi agarchay tum dikhawe k liye hee sath ho merey chalo, itna hee kaafi hai tumhara paas hona bhi yunhi to abr e rehmat ki talab karta nahi hoo'n mai zaroori hai muqaddar mai zara si pyaas hona bhi kayee chehrey latak jate hain khushyon ki khabar sunn kar hamain to roop daita hai ghamo'n ka raas hona bhi jale gi khud ba khud SAA'DI dilo'n mai pyar ki shammey ghanimat hai usey mera abhi ahsas hona bhi |
nice....
|
bht alla yara
keep it up nyc goin |
Thanks For VistiNg, keeP Visiting
|
Mujhse puuchte kya ho zindagii k baare men Ajnabii bataaye kya ajnabii k baare men Arz sirf itni hai dosti k baare men Aadmi ghalat samjha aadmi k baare men Ghair ko bura keh duun ghair to nhii aisa Aap hii se shikwa hai aap hii k baare men Bewafa kaha mujh ko aap ne baja lekin Is tarha nhii kehte her kisii k baare men Ye ghariib logon k ghar se duur rehtii hai Tajurba hai ye mera chaandni k baare men...!! |
"Her kisi se jo hum ne wafa ki" "bus ye hi zindagi mai khata ki" "chahato k hajoom mai tanhai" "mujh ko dosto ne hi atta ki" "soz.e.dil yunhi nahi mila hum ko" "bari keemat thi is ki jo adaa ki" "jo hamara na ho saka hum ne" "us k wastey bhi dua ki... |
Wo Gul-Faroash Kahaa'n, Ab Gulaab Kis Se Loo'n Nahi'n Rahaa Maira Saaqi Sharaab Kis Se Loo'n Teyri Talaash Main Iss Umar-E-Mustu'ar Ke Saal Jo Raayegaa'n Gaye Un Ka Hisaab Kis Se Loo'n Hayaat Khud Hai Sawaal Aur Khud Jawaab Apna Sawaal Kis Se Karoo'n Main Jawaab Kis Se Loo'n Kissi Ke Naam Jo Mansoob Abhi Nahi'n Ki Thi Main Apani Khoyi Huwi Wo Kitaab Kis Se Loo'n Tumhaare Baad Na Dekhoo'n Tumhaare Jaisoo'n Ko To Ye Shabai'n Ye Umangai'n Ye Khwaab Kis Se Loo'n Nashaa Kashii Se Bhi Le Loo'n 'Shaoor' Aaj Magar Wo Roz-E-Abr-O-Shab-E-Mahataab Kis Se Loo'n |
کبھی یاد آئے تو پوچھنا کبھی اپنی خلوت شام سے کسے عشق تھا تیری ذات سے، کسے پیار تھا تیرے نام سے زرا یاد کرو کہ وہ کون تھا، جو کبھی تجھے بھی عزیز تھا وہ جو جی اٹھا تیرے نام سے، وہ جو مر مٹا تیرے نام سے ہمیں بے رخی کا نہیں گلہ، کہ یہی وفاؤں کا ہے صلہ مگر ایسا جرم تھا کون سا، گئے ہم دعا و سلام سے نہ کبھی وصال کی چاہ کی، نہ کبھی فراق میں آہ کی کہ میرا طریقئہ بندگی، ہے جدا طریقئہ عام سے |
All times are GMT +5. The time now is 04:46 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.