![]() |
Re: Bewafa Shayari collection :
Teri galiyon mein rehte they to ik ehsaas tha ghar ka,
Kisi ka ghar basaa kar hum ko be-ghar kar diya tu ne.. … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Teri nigaah mein ek rang e ajnabiyat tha,
Kis aitbar pe hum khul ke guftugu karte.. … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Taluqaat ke bar’zukhh mein hi rakh mujh ko,
Woh mere haq me na tha, aur khilaaf bhi na hua.. |
Re: Bewafa Shayari collection :
Tumhara kya hai tumhe to baazi se bas taluq hai waajbi sa,
Yeh khel hai meri zindagi ka, ke mera jo kuch hai daao per hai.. … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Maana ke Marne Walon ko Bhula Dete Hain Sabhi,
Zinda ko BhoOl kr Tum ne to Riwayat he Badal di.. … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Yehi Bohat Hai Ke Baitha Hay Sar Jhukaye Huye,
Mujhey Ujaar Ke Wo Shakhs Sharam’sar To Hay.. |
Re: Bewafa Shayari collection :
Kab Tak Raho Ge Aakhir Yoon Door Door Hum Say?
Milna Paray Ga Aakhir Ek Din Zaroor Hum Say..! Daman Bichaane Walay Ye Be-Rukhi Hai Kesi? Keh Do Ager Hua Hai Koi Qasoor Hum Say..! Hum Cheen Lenge Tumse Ye Shan-e-Benayazi, Tum Mangte Phiro Gay Apna Garoor Hum Say…!! |
Re: Bewafa Shayari collection :
Phir Usi Shakhs se Umeed-e-Wafa,
Aye Dil, Tujhe Izzat Raas Nahi??? … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Bara Maza Ho Kay Mehshar Main Hum Karain Shikwa,
Wo Minton Se Kahain, Chup Raho Khuda Kay Liye. … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Phool, khushbu, chaman, chand, sitare, sabaa,
Sarey saathi woh hum se khafaa kar gaya.. … |
All times are GMT +5. The time now is 08:58 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.