![]() |
Re: Bewafa Shayari collection :
Wo kaha karta tha
Jab Mein tujhy bhoolunga To wo din zindagi ka Akhri din ho ga Us raat taaray Na chamkaingy Us subha Suraj na Nikley ga Wo kaha karta tha Meri har Saans se Tu wabasta hai Aaj jab us Ne rasta badla Tou Yaad aya Wo kaha karta tha … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Koi sawaal jo poochay to kia kahoon us se
Bicherney walay! Sabab to bata judai ka. . ! … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Guzray hain aaj ishq mein hum us maqaam se
Nafrat si ho gai hai muhabbat k naam se. . ! … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Geela kaghaz ki tarha zeest hamari thehri. .
Koi likhta bhi nahi, Koi jalata bhi nahi. . ! … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Kitni aasani se us ne likh diya
“jaan-e-man! Mehsoos mat karna magar In dino’n beemar bhi hoon aur kuch haalaat bhi achy nahi Raat din socho’n mein gum rehti hoon mein “Tum” rehti hoon mein Ik guzarish hai bura mat manna Mery khat aur meri tasweer’ain tamaam Mujh ko wapis bhej do Meri mangni honay wali hai, boht majboor hoon” Us ki tasweerain aur us k khat tamaam Meine chun chun kar rawana kar diye Us ne phir likha k sari zindagi Apni tehreer’on, tasweer’on ki surat mein sadaa Ab tumhain dekhungi mein Apni sanso’n k boht nazdeekh paungi tumhain Doosro’n k wastay mein bhool jaungi tumhain . . ! … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Guzarney walay youn sarsari na guzar dil se
Muskan shikasta sahi per makeen rakhta tha. ! … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Gardaab mein, chonk parra un ki sadaa per
Ehsaan ye mujh per mery ehbaab na kartay. . ! … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Is dil ne teray baad muhabbat bhi nahi’n ki
Had ye k dharakney ki jasaarat bhi nahi’n ki Tabeer ka aizaz hua hai usey haasil Jis ne mery khuwabo’n mein sharakat bhi nahi’n ki Ulfat tou barri baat hai hum se to sir-e-sheher Logo’n ne kabhi dhang se nafrat bhi nahi’n ki Aadab-e-safar ab wo sikhatay hain jinho’n ne Do chaar qadam tay ye musaafat bhi nahi’n ki Kia apni safai mein bayaa’n daity k hum ne Nakarda gunaho’n ki wazahat bhi nahi’n ki Khamosh tamashaai k manind sir-e-bazm So zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahi’n ki Us ghar k sabhi log mujhy chorrney aaye Dehleez talak us ne ye zehmat bhi nahi’n ki Us ne bhi ghulam’on ki safo’n mein humain rakha Is dil pe kabhi jis ne hakoomat bhi nahi’n ki. . ! … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Mein tou usko dekhtay hi jaisy pathar ho gaya
Baat tak na munh se nikli be-wafa k saamney. . ! … |
Re: Bewafa Shayari collection :
Meine chaha tha andoh-e-wafa se chootu’n
Wo sitam’gar mery marnay pe bhi razi na hua. . ! … |
All times are GMT +5. The time now is 07:35 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.