![]() |
-:||:- Teri Ye Baat Mujhay Roz Rula Dayti Hai -:||:-
-:||:- Teri Ye Baat Mujhay Roz Rula Dayti Hai -:||:- Shaairi hosh mein jab hoon to maza dayti hai Werna ye khoon-e-jigar tak ko jalaa dayti hai Tera wo piyaar say kehna k chalay aao idher Aaj bhi mujh ko wo sirgoushi hansa dayti hai Mujh ko her roz hi milnay ki tasalli day ker Apni her baat ko wo khud hi bhula dayti hai Wo meri zaat ka hissa hai judaa kaisay karoon Teri ye baat mujhay roz rulaa dayti hai ShihaaB wo chair k sab saaz puraanay waalay Meray bujhtay huway zakhmon ko hawa dayti hai. |
-:||:- Tum Kya Jaano -:||:-
-:||:- Tum Kya Jaano -:||:- Ashk tum nay nahi chakkha hai abhi Derd ka rung nahi dekha hai Tum nay dekhi, na suni Zerd hotay huway Patton k labon ki siski Sozish-e-jaan ko bhala kya jaano Tum nay dekhi hai kabhi ye duniya Meri aankhon mein kabhi jhaanka hai ? ? ? |
-:||:- Us Nay Kaha Tha -:||:-
-:||:- Us Nay Kaha Tha -:||:- Us nay kaha tha Tum wo shajar ho Jis ki shaakhein tapti dhoop mein Shabnum shabnum phail rahi hein Jaisay zaat ki penhaai ho Us nay kaha tha Tum wo shajar ho Jis k patton ki shaadaabi soundhi khushboo Mosam-e-gull ka sirmaaya hai Jaisay khuwaab ki raanaai ho Tum wo shajar ho jis ki jarein itni gehri hein Jaisay rooh ki gehraai ho Us nay kaha tha Ye to gaye din ki baatein hein Patt-jhar say pehlay ki baatein Ab to zeest ki aik aik saa’at aik aik lamha Dasht-e-junoon mein tunhaai ka boujh uthaaye Aanay waalay rah-geeron say pooch raha hai Ye mosam kab tak badlay ga ? Kab tak ye mosam badlay ga ? ? ? |
-:||:- Usay Ye Kon Samjhaaye -:||:-
-:||:- Usay Ye Kon Samjhaaye -:||:- Usay ye kon samjhaaye Wo dasht-e-khaamoshi mein Ungliyon mein seepiyaan pehnay Kisi sookhay samander ki Adhoori piyaas ki baatein Bohat chup chaap suntan hai Bohat khaamosh rehta hai Usay ye kon samjhaaye ? ? ? Khushi k aik aansoo say Samander bhar bhi jaatay hein Bohat khaamosh rehnay say Taa’alluq merr bhi jaatay hein ….. ! |
-:||:- Khushboo -:||:-
-:||:- Khushboo -:||:- Tumhaaray ghum mein kisay khaber thi K hum nay apna bana banaaya jahaan saara Misaal-e-dasht-e-bala bana k Junoon-e-dil mein tiyaag daala Khirad ki zid thi so poori ker di Mohabbaton ka lahoo nichouraa Kisay khaber thi K koi khushboo ko qaid ker k Bhi rakhna chaahay to rakh na paaye So main nay khud ko teray badan mein Misaal-e-khushboo utaar daala Badan bazaahir to hai tumhaara Mager main us mein machalti khushboo ….. ! |
-:||:- Meri Mohabbat -:||:-
-:||:- Meri Mohabbat -:||:- Hata do naqsh-e-jahaan say mujh ko Yaa mera naam-o-nishaan mitaa do Mujhay bhi mitti mein khaak ker do Yaa meri hasti ko shoulon ki raakh ker do Mager main itna bata doon jaana Main hoon mohabbat ka wo mareez Jo hijr k paaniyon mein ghull ker Wuqoo-e-shaam-e-sukoon say pehlay Tera hi rung-e-shafaq banoon ga Mitaa k dekho wujood mera Tumhaari chaahat mein mitt k jaana Adaa namaaz-e-wafaa karoon ga Meri mohabbat tum hi ho jaana Sada main tum say wafa karoon ga ….. ! |
Re: -:||:- Udaasi Theher Jaati Hai -:||:-
Uth kar choom li hain chand murjhayi huwi kaliyaan
Na tum aaey to yun jashn e baharaan kar liya mein ne (Saghir Siddiqui) |
Re: -:||:- Udaasi Theher Jaati Hai -:||:-
Hmmm Nice Razi
And Thankx |
Re: -:||:- Udaasi Theher Jaati Hai -:||:-
Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Bhout Khoob Quote:
Quote:
Quote:
KEEP SHARING Owi |
Re: -:||:- Udaasi Theher Jaati Hai -:||:-
Thank You Mahi
|
All times are GMT +5. The time now is 07:14 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.