MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Miscellaneous/Mix Poetry (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=129)
-   -   ~~~~ Kuch Yadein Bithy Lamho Ki ~~~~ (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=7319)

Dast-e-Tanhai 02-13-2009 10:00 PM

Iss Qadar Zarf Tou Rakhtey Hain Zamane Waley
Zindagi Chhin ke Jeene Ki Duaa Detey Hain !!!

Dast-e-Tanhai 02-13-2009 10:06 PM

Ye Hum Bhi Gawara Karte Hain
Ye Tum Bhi Gawara Kar Lena

Roo Roo K Guzari Hai Hum Ne
Tum Hans K Guzara Kar Lena

Betabi Haad Se Bhar Jaye
Or Neend Na Aeye Ratoon Ko

To Doob K Meri Yadon Main
Duniya Se Kinara Kar Lena

Jis Waqat Janaza Guzre Ga
Es Shakhs Ka Tere Koche Se

Jazbat Pe Qaboo Kar Lena
Khirki Se Nazara Kar Lena ..

Dast-e-Tanhai 02-13-2009 10:06 PM

Muhabbat dasht-e-furqat mein
bina rakht-e-safar chaltay kisi majzoob ke Dil se nikalta
aik noha he
muhabbat raaston ke jaal mein bhatka hua raahi
kisi ke baam pe thehra hua ik ajnabi chehra
muhabbat khuaab bun jaaey to taabeerein nahi miltein
muhabbat aik baarish he

jo ik ik boond bun ke tun-mun mein jab utarti he
sureelay saaz bajtay hain
anokhay baab khultay hain
muhabbat kerne waley to faseel-e-jaan ko daao per laga ke baat kertay hain
woh kaanto ki zameeno pe bhi nangay paaon chaltey hain
muhabbat aik sargoshi he

kisi funkaar ke haathon se chirta bay-khudi ka raag
muhabbat baarishon ke mausam mein yaad ki kaaya
muhabbat jaltay-tuptay raaston per phailta saaya
muhabbat ik qaza bun ker bhi aati he
kai logon ke jeewan mein
muhabbat marg-e-gul bhi he

muhabbat yaas ki soorat
ik aisi piaas ki soorat
kabhi jo bujh nahi paati
muhabbat ik udaasi he
bala ki khaamshi bhi he
muhabbat

Dast-e-Tanhai 02-13-2009 10:06 PM

Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain
zakhm kaise bhi hon kuchh roz me bhar jate hain

Is dareeche me bhi ab koi nahi aur hum bhi
sar jhukaye huye chupchap guzar jate hain

Rasta roke khadi hai yahi uljhan kab se
koi poochhe to kahen kya ke kidhar jate hain

Narm awaz bhali baten mohazzib lehja
pehli barish me hi ye rang utar jate hain

Dast-e-Tanhai 02-13-2009 10:07 PM

Kisi ke Waaste khud ko Mitana ab nahi mumkin
Diya is gham ki aandhi mein jalana ab nahi mumkin

Wo Wada jis mein har ik khawab ki Tabeer milti thi
Usse yoon baad muddat ke nibhaana ab nahi mumkin

Falak ki Wussaton mein khone wale bekhabar panchi
Palat ke dekh peyrhon pe thikaana ab nahi mumkin

Tumhe Fursal mili kab hum se Dil ka haal sunne ki
Chalo Choro yeh afsaana sunaana ab nahi mumkin

Kabhi wo Waqt tha jab Hum Dilon pe Raaj karte the
Kisi ki Aankh se Neendein churaana ab nahi mumkin

Wo Humko bhool bethe hein Badal Rut mein to phir kya
Hamaare Waaste un ko bhulaana ab Nahi mumkin

Zara ik Nazar to Dekho idher Peron ke Chaalon ko
Pohanch ke tere Dar pe,,Khaali jana ab nahi mumkin

Hazaaron Lab Dua karte hein jis ke waaste har Pal
Ussi ko Munh ke Bal Giraana ab Nahi mumkin...

Dast-e-Tanhai 02-13-2009 10:07 PM


Mein Muntazir Hoon



main muntazer hoon
iss roshni ki
iss ujaly ki
jo tery tan sa
mery tan tak
jo tery man sa
mery man tak
phyel jya
mery jism-o-jan main
meri ragon tak main
utar jya
iss roshni ki
jise hum tum "MOHABAT" khete hain

Dast-e-Tanhai 02-13-2009 10:07 PM

Tashnagi

tashnagi hoon aarzu hoon dard ki fariyaad hoon
aaik tanhaai ka markaz hoon chraagh-e-yaad hoon

mera mallah main khudi tha mera katib main khudi
apni har unwaan-e-barbaadi ki main ejaad hoon

meri tanhaai thikana hai mera kuch is tarha
hoon akela aur gham ki bazam main abaad hoon

mujhse na poocho meri nakaamiyoun ka silsila
phool daman main liye betha hoon aur nashaad hoon

zindagi ik dard hai kia kuch nahi haasil mujhey
har khushi se door hoon har chaain se aazaad hoon ...

Dast-e-Tanhai 02-13-2009 10:09 PM


ankh ban jati hia sawan ki ghata sham ke baad
loat jata hia ager koi khafa sham ke baad

woh jo tal jati rahi sir se bala sham ke baad
koi to tha jo deta tha dua sham ke baad

ahhey bherti hia shab-e-hijir yatimoo ki terhan
sard hojati hia her roz hawa sham ke baad .

sham se pehley lakh sulaey rakhiey
jag uthti hia mohobat ki ana sham ke baad ,

sham tak qaid raha kertey hia dil ke under
dard ho jatey hia sarey hi riha sham ke baad,

khuab toot ker lipat jatey hia band ankho se
janey kis jurum ki hia kis ko saza sham ke baad,

chand jaab roo ke sitaroo se galey milta hia
aek ajib rang ki hoti hia fiza sham ke baad,

main ager khush bhi rahoon phir bhi mere siney main
soogawari to roti hia sada sham ke baad ,

tum gaey to siyah rang ke kaprey pehney
phir ti rehti hia mere gher main qaza sham ke baad ,

main ne tanhai se poucha miloo gi kaab tak
us ne foran hi baicheni se kaha sham ke baad

loat ati hia meri shab ki ibadat khali
janey kis arsh per rehta hia khuda sham ke baad ,

ajib muthi main jakrey rakhta hia din mujhey
mujhey iss baat ka ahsas howa sham ke baad,

koi bhoola howa ghum hia jo musalsal mujh ko
dil ke patal se deta hia sada sham ke baad,

mar deta hia ujer janey ka dohra ahsas
kash koi ho na kisi se juda sham ke baad


tu hai suraj tujy kya malom raat ka dukh
tu kisi roz mery ghr me utar shaam k baad..

Dast-e-Tanhai 02-13-2009 10:09 PM


khud ko mujhsy juda kiya us ne

khud ko mujhsy juda kiya us ny

jo na kerna tha, kiya us ny

yaad kerny sy b na yaad aon

aiesy mujhko bhula dia us ny

tum tu bus waqt ki zarorat ho

mujhko akhir bta dia us ny

apny hathon sy khud he likh kr mujhy

jane Q phir mita dia us ny ?

Dast-e-Tanhai 02-13-2009 10:11 PM

barason ke baad dekhaa ik shaKhs dil rubaa saa
ab zahan mein nahin hai par naam thaa bhalaa saa

abaruu khinche khinche se aankhein jhukii jhukii si
baatein rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar mein
ban jaaye jangaloon mein jis tarah raastaa saa

Khvaaboon mein Khvaab us ke yaadoin mein yaad us kii
niindoon mein ghul gayaa ho jaise ke rat jagaa saa

pahale bhii log aaye kitane hii zindagii mein
vo har tarah se lekin auroon se thaa judaa saa

agalii muhabbatoon ne vo naa muraadiyaan dien
taazaa rafaaqatoon se dil thaa Daraa Daraa saa

kuchh ye ke muddatoon se ham bhii nahin thay roye
kuchh zahar mein bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

phir youn huaa ke saavan aankhoon mein aa base the
phir youn huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

ab sach kahain to yaaro ham ko Khabar nahin thii
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa saa

tevar the berukhii ke andaaz dostii ke
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zoam ham ko jab vo nahin thaa pyaasaa

ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhii haal hai ab logo Faraz kaa saa ...


All times are GMT +5. The time now is 12:53 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.