![]() |
Re: Bait Bazi
ik alam-e-hairat hai fanaa hai, na baqaa hai hairat bhee ye hai ki kyaa jaaniye kyaa hai soo baar jalaa hai to ye sau baar banaa hai ham sokhtaa jaanoun kaa nasheman bhee balaa haia |
Re: Bait Bazi
aas mai bethi shahzadi ki, maang mai chandi jhank chuki itni dair se kun aatey hain aakhir ye shahzadey loog ?? |
Re: Bait Bazi
Garmee - e - shauq - a - nazaaraa kaa asar to dekho gul khilay jaatay hain wo saayaa - e - daar to dekho aisay naadaan to na thay jaan say guzaranay waalay naasihooo, raihaabaar - o - raah guzar to dekho |
Re: Bait Bazi
Or kya is say ziyaada main nermi bertoon Dil k zakhmon ko chua hai teray gaalon ki terhan |
Re: Bait Bazi
Na kah saaqee bahaar aane ke din hain jigar ke daag cheel jaane kay din hain adaa see Khuub adaa aane ke din hain abhee to dour sharmaane ke din hain |
Re: Bait Bazi
Naa-ummeed to nahi hai dil naa-kaam hi to hai Lambi hai ghum ki shaam mager shaam hi to hai |
Re: Bait Bazi
Is do pal ki zindagi main tanhai kyuon hai Logo ko hamse ruswai kyuon hai Is duniya me insaan kam toh nahi phir mere saath sirf meri parchai kyuon hai |
Re: Bait Bazi
ik mudat se aa'dat hai tere sham o sehar ki ab koon is yaad kayi mamool koo badley |
Re: Bait Bazi
ye dono aik ho jaeyn, to ghar aabad ho jaey mere kamrey ki virani, tere angan ka sannata hai |
Re: Bait Bazi
Is dor-e-bey junoon ki kahani koe likho jismoun ko barf, khoon ko pani koe likho koe kaho key hath QALAM kis tarhaan howey kiyoun ruk gaee QALAM ke Rawani koe likho |
Re: Bait Bazi
wo bhi chup chup si kahin beth kai roti hogi mai bhi ratoon ko zara dair se ghar jata hon |
Re: Bait Bazi
na gae dinon ko Khabar merii, na shariik-e-haal nazar terii tere des mein, mere bhes mein, koii aur thaa koii aur hai |
Re: Bait Bazi
is husun kai sachey mooti ko, hum dekh saken per cho na saken jisey dekh saken per cho na saken, wo doulat kia, wo khazana kia |
Re: Bait Bazi
ashk beachney aye hain sar-e-bazaar kharedar na milay ga jantey hain hum |
Re: Bait Bazi
mera zard chehra hai kis lye, ye makaan ujra hai kis lye na tu mujh se aise sawal kar, main udass hon mujhay dekh ja |
Re: Bait Bazi
Aaj is liye bhi sab say judaa ho raha hoon main Merr bhi jaaoon to kisi aankh mein aansoo na milen |
Re: Bait Bazi
na mumkinat mai hai usey bhool jao gai yun diary se maah e decmber nikal kai |
Re: Bait Bazi
Is Waqt Tabaahi K Kareeb Hai Kashti Meri.. Lehro Zara Tez Baho, Mujhy Tootney Ka Shauk Nahi!! |
Re: Bait Bazi
is tark e wafa pe mein usey kesy bhula dun mujh par abhi us shakhs k ehsan bohat hain |
Re: Bait Bazi
Na sawal sood_o_ziyan ka ker, Hay wo kia jo mujh ko milla nahi Meray humsafar tu yaqeen ker, Mujhay tujh say koi gilla nahi |
Re: Bait Bazi
ik tum hi nahi meri judai mai pareshaan hum bhi to teri chah mai veraan bohat hain |
Re: Bait Bazi
Na Khalish-e-Judai Khatam hoi, Na Hayat Guzri Qaraar se Main Khizan Parast Hon Hum Nasheen, Mujhe Kya Gharz hai Bahar se Zara Berukhi Se Bat Kar, Zara Beniazi se Paish aa Main Isi Nazar Se Tabah Hui, Mujhe Dekh Na Tu Pyaar Se |
Re: Bait Bazi
emkaan na tha dur talak tajdeed e Ta'alluq ka
dekhey jo ye halaat to hum toot kai roey |
Re: Bait Bazi
Ye kon log andhayron ki baat kertay hein Abhi to chaand teri yaad k dhalay bhi nahi |
Re: Bait Bazi
Ikhlaas ki jaagir ko hum ahl_e_mohabbat taqseem tu kar daytay hein becha nahi kartay |
Re: Bait Bazi
yun tu tehray hain kaie khawab palkoon pe neendein hi roothi hon tu taabeer kaise miley |
Re: Bait Bazi
Ye rishta-e-khuloos hai tootay ga kis terhan Roohon ko choo sakay hein bhala kab fana k haath |
Re: Bait Bazi
hum kahan jaenge dard ki dawa k liye... khud se juda na karo humein khuda k liye... ajeeb us ka jumla tha juda hote waqt.... k koi or dhoond lo wafa k liye.... |
Re: Bait Bazi
es tarah dasht e mohabbat se guzar jaon ga jism zakhmi na mere paon main chaale hon gai |
Re: Bait Bazi
iss tarah naheen kartay rabta to rakhtay hain. thorra milnay julnay ka silsilaa to rakhtay hain |
Re: Bait Bazi
Na kisee ke aankhoun kaa noor houn na kisee kay dil kaa qaraar houN jo kisee kay kaam na aa sakay main wo ek musht-e-Gubaar houN na to main kisee kaa habib houn na to main kisee kaa raqeeb houN jo bigaar gayaa wo naseeb houn jo ujaaarh gayaa wo daayaar houN |
Re: Bait Bazi
yun na samjho ge mare shiddat e jazbat ko
meri raton ko tanhai main guzarta daikho Next..... O |
Re: Bait Bazi
Os ne poocha kab say nahi sooye Main tab say jagti raton ka hisab liye phirta hun Os ki khwahish thi ke meri aankhon main pani dekhe Main tab se barasti aakhain liye phirta hun |
Re: Bait Bazi
na bhuja chiragh e diyaar-e-dil, na bicharne ka tu malal kar tujhay degi jeene ka hosla, mere yaad rakh le samhal kai |
Re: Bait Bazi
Itni shiddat sai chahaa, Mainay tanhayeeoun Koo kay ab us kay annay ka in tazaar bhi baqi na raha Itni shiddat say chahaa, Mainay Gumnamiyoun koo Kai ab Khodh sai bhi, Koee Rishtaa Na rahaaa |
Re: Bait Bazi
åpñï zïñdåghï tü tëhrï gïlåý kåghåz kï tårhååñ køë jålå ßhï ñå §åkå køï mïtå ßhï ñå §åkå |
Re: Bait Bazi
aisey lagi udas sar - e - sham zindage jaisey kisi ki aankh ka ilzam zindagee jis k bina ye sans mujhe doobti lagee ja kar usy bhi dhoond kisi sham zindagee |
Re: Bait Bazi
Ek suljha hua sa fard samajhty hain Mugh ko Log
ek uljha hua sa Mugh mein koi or b hai... |
Re: Bait Bazi
ik muddaat see ho gayee hai aaj uske yaad bhi naa aayi hume phir is naamuraad dil ko tune dhadakna sikhaaya kis liye !! |
Re: Bait Bazi
Ey abr-e-Mohabbat tu kaheN aur baras jaa
meiN rait ka Teela hooN meri pyaas bohat hai |
All times are GMT +5. The time now is 03:03 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.