![]() |
Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi
hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi
mere nagmat ko andaz-e-nava yaad nahi main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai main wo sahil hun jise koi sada yaad nahi main ne jin ke liye rahon mein bichaya tha lahu hum se kahate hain wohi ahad-e-vafa yaad nahi kaise bhar aain sar-e-sham kisi ke aankhen kaise tharrae charagon ke ziya yaad nahi sirf dhundhalai sitaron ke chamak dekhi hai kab hua kon hua kis se khafa yaad nahi zindagi jabr-e-musalasal ke tarah katati hai jane kis jurm ke pai hai saza yaad nahi aao ik sajda karen aalam-e-madhahoshi mein kahate hain ke “sagar” ko khuda yaad nahi |
Re: Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi
nice one
|
Re: Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi
>ery n!c3
|
All times are GMT +5. The time now is 11:10 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.