![]() |
Har fard yahan par taajir hai
Har fard yahan par taajir hai
Har fard yahan par taajir hai, Har waqt tijarat hoti hai, Tum ap hi apne daam kaho, Chhup k nahi sar-e-aam kaho, Kya lo ge apni yari ka? Kya lo ge tum dildari ka? Gham-khwaar bano ge kitne mein? Tum pyar kro ge kitne mein? Sab jazbe mere naam kro, Hum-naam tum apne daam kaho, Par daam chukane ki khatir, Hum apna dafter kholen to, Hum apni jaib tattolen to, Bus pyar mile ga thora sa, Ahsas mile ga thora sa, Ye sikky yahan kab chalte hain? Kya udhar mile ga thora sa? Ye dunya be-aitbari ki, Ye arz ha har beopaari ki, Chal chhor tmanna jazbon ki, Hum khali hath hi aaye thay, Chal khali hath hi chalte hain!! |
Re: Har fard yahan par taajir hai
Thnks For shaarinG
|
Re: Har fard yahan par taajir hai
pessimistic yet true :)
|
Re: Har fard yahan par taajir hai
>ery n!c3
|
Re: Har fard yahan par taajir hai
nice one
|
Re: Har fard yahan par taajir hai
Zabardast
|
Re: Har fard yahan par taajir hai
nice hay .......
|
Re: Har fard yahan par taajir hai
Nice....
|
Re: Har fard yahan par taajir hai
بہت اعلیٰ۔۔۔۔۔۔
|
All times are GMT +5. The time now is 01:22 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.