![]() |
Aghar Allah aapki dua qabool kar ley
Agar ALLAH apki dua qabool kar ley, To iska matlab he k WO APKA iman mazboot ker raha he, Agar thori der se kare to Aap k SABAR ko Barha raha he Laikin Agar qabool na kare to aapka iman Azma raha he. Is liye hamen har Hal mein “ALLAH” per BHAROSA aour SHUKAR karna chahiye. ............... Hum insaan yhe chahtey hai k humari dua aik dum se qabool ho jay .. Lekin aghar humari har aik dua ossi waqt qabool ho jay to, hum zindagi key imtehaan kese lenge???.. Humarey sath zindagi mein jo kuch bhi hota hai achey k lye hi hota hai.... kyo k ALLAH(swt) humaey azmaata hai.. k mera banda kya karey gha jub osski jo khuwaish hai woh poori nahi hogi.. Aour hum insaan isskey bijay k hum ALLAH(swt) ki taraf rujoo karey.. hum rona shoro kar detey hai.. Issilye zindagi mein jo kuch hota hai behtaari k lye hota hai. bus humey baad mein ilm partha hai.. Aour tub hum sochtey hai .. KAASH mene aisa na kia hota.. Lekin oss KASH k bijay hum yhe kahey k.. INSHALLAH sub acha hoga.. Aour next time mein aisa nahi karonga/karongi.. sub kuch ALLAH(swt). par chor dey.. cause woh behtaar janta hai k humarey lye kia acha hai.. .. Allah(swt) hum sub ki naik dua qabool karey.. AMEEN.. |
JazakAllah..very nice sharing !!!
|
jazakAllah
aamin |
Thanks4TRz.. Life and Ruby.. |
Ameen,.
Thanks For Sharing Dear. |
All times are GMT +5. The time now is 01:47 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.