Nida-H |
03-30-2009 05:17 PM |
Yeh Uljha Uljha Sa Bandhan..
Ye bujhi bujhi si dharkan, ye uljha uljha sa bandhan
Aazaar-e-rooh ka baais, kyun choot-ta nahin hai?
Wo naraz hai jo mujh se, badgumaan hai jo mujh se
Iqraar se hai kyun guraezaan, kyun rooth-ta nahin hai?
Hazaar –ha daleelen de don khud ko rahey wohi baebasi ka alam
Wo aik shakhs hi nahin aakhir, kyun bhoolta nahin hai
Aik bikhra sa rishta hi tha na aakhir, jo rog ban gaya hai
Main chahey kuch bhi karloon kyun toot-ta nahin hai?
Meri wehshaton ka darmaan ,merey hoslon ka yazdaan
Haan hai wasaal-e-jaanan, per umeed ka koi beej kyun phoot-ta nahin hai???
|