![]() |
!!~~koi apna nahin banta~~!!
koi apna nahin banta!!! labon pay naam rakhnay say dilon main yaad karnay say har ik dharkan, har ik tarpan kisi ke naam karnay say koi apna nahin banta tamam umar ki khushiyan mohabbat ki sabhi ghariyan kisi ko daan karnay say ke …us pay maan karnay say koi apna nahin banta woh pehlay piyar ki batain rafaqat ki sabhi ratain woh chahat ki sabhi rasmain mohabbat ki sabhi qasmain humaisha yaad rakhnay say koi apna nahin banta kisi tanha akaili raah guzar par puranay say kisi boorhay shajar par patthar say koi dil bananay say aur usmain apna or kisi ka naam sajanay say koi apna nahin banta ke jab……aankhain hi marr ja’ain to phir sapna nahin banta yeh jeewan daaan kar ja’ain to bhi apna nahin banta koi apna nahin banta… koi apna nahin banta……… |
good bhai
|
V.Nyc..:salute:
|
bahut khoob
|
Thanks all of you |
zabardast
|
All times are GMT +5. The time now is 06:37 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.