![]() |
Anhekin khuli rahe gi to mnzar b ayengy
Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!! Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai *Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai… |
Nyc.. Saba Kon Hai... :crazy4:
|
very Nice
|
ty
|
shayan poetry ki smjh lgti hai to saba ki b lg jaye gi:D
|
nice.
|
ty
|
nyc
|
nice
|
| All times are GMT +5. The time now is 01:54 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.