![]() |
Buhat Dinon Bad Main Ne Socha Tu Yaad Aaya
Buhatt Dinon Bad Tere Khat k Udass Lafzon Main Teri Chahat k Zayiqon k Tamam Khushbo Mere Ragon Main Undail Di Ha Buhat Dinon Bad Buhat Dinon Bad Teri Baatin Teri Mulaqat k Dhank Se Dhahkti Raatain Ujaar Aankhon k Pyaas Patal ke Tahon Main Wisaal Wadon k Chand Chingarion Ko Sanson Ke Aanch De Kar Shreer Shulon ke Sargashi ke Tamam Tewar Sikha Gaye Hain Tere Mehkte Maheen Lafzon ke Aabsharin Buhat Dinon Bad Phir Se Muj Ko Rula Gayin Hain Buhat Dinon Bad Main Ne Socha To Yaad Aya K Mere Under ke Rakh ke Dhar Par Abhi Tak Ha Tere Zamane Likhe Howe Hain Sab Hi Fasane Likhe Howe Hain Buhat Dinon Bad Main Ne Socha Tu Yaad Aaya K Teri Yaadon ke Kirchian Muj Se Kho Gayi Hain Tere Badan ke Tamam Khushbo Bikhar Gayi Ha Tere Zamane ke Chahatin Sab Nishaniyan Sab Sharatin Sab Haqaytin Sab Shakaytin Jo Khabi Hunar Main Khayal Thin Khwab Ho Gayi Hain... Buhat Dinon Bad Main Ne Socha To Yaad Aaya Ke Main Bi Kitna Badal Gaya Houn Bichar k Tuj Se Kai Lakeron Main Dhal Gaya Houn Main Apne “ciggreat” k Byirada Dhowan k Sorat Hawa Main Tehleel Ho Gaya Houn Na Dhond Meri Wafa k Naqshe, Qadam k Raizai Ke Main To Teri Talash k Bykinar Sehara Main Waham k Byaman Baglon k War seh Ker Udaas Reh Kar Na Jane Na Jane Kis Rah Main Kho Gaya Houn Bicher k Tuj Se Teri Tarha Kia Batyon Main Bi Na Jane Kis Kis Ka Ho Gaya Houn |
Amazin... :withrose: |
nice poetry
|
v nice...
|
nice
|
All times are GMT +5. The time now is 10:39 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.