![]() |
~~~ Ujaar lamhon ki daastanain ~~~
Ujaar lamhon ki daastanain ager kaho tou sunaain tum ko bohat sa hum jagtey rahey hain chalo zara sa jagaain tum ko tumhi jo roshni ban ker humari aankhon mein aa basey ho jab apni aankhain hi keh dia hai tou phir bhala kyun rulain tum ko tum aaj kyun muztarib ho janan,tumharey lehjay mein toot kesi kaha na tha k' waqt dai ga kadooraton ki sazaain tum ko tum aisa kerna k aik lamhay ko apni dharkan peh haath rakhna meri wafaain merey ye jazbay ager kabhi yaad aain tum ko ghubaar aalud raaston mein talaash ker ker k thak gaye hain kahan peh jaa k basay huye ho kahan se dhoond lain tum ko tumhain tou sukh aagay muyaser tumhain to hum yaad bhi nahi hain magr batao k hum jo chahain tu kis tarah se bhulaain tum ko tum apni baaton peh mutmain ho hamein bhi shermindagi nahi hai anaa ki diwaar ko gira ker nahi ye mumkin manaain tum ko kaho ae jazib ye jhoot hai naa k tum ne us ko bhula dya hai abhi talak jis ki shokh yaadein her aik lamha sataain tum ko... |
nice....
|
Quote:
|
V.Nyc
|
Quote:
|
All times are GMT +5. The time now is 04:07 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.