![]() |
| uth k jo chal diye |
Uth ke jo chal diye hain mahfil se begaano ki tarah, Humne bhi khud ko hi jalaya hai parwaano ki tarah. Ye aur baat hai tere muqaddar me jaam hain jaana, mere aashiyane bhi aksar saje hain maykhano ki tarah. Tum chord ke kya gaye saara aalam hi rooth gaya, khudaya,tu bhi begaana ho chala hai insaano ki tarah. Wo jiske kadmon ki aahat se mera ghar aabaad tha kabhi, wahi shaksh aaya hai aaj kyon yahan mehmaano ki tarah. Kyon aae ho tum sab meri maiyat me yoon khamoshi se, kuch armaan hue hain poore ki aao zara toofaano ki tarah. Kyon kar aaj tujhe gham hai in ghamon ka aye 'shaad' tariqe-hayaat me teri khushiyan aain theen bahaano ki tarah........ |
Uth ke jo chal diye hain mahfil se begaano ki tarah,
Humne bhi khud ko hi jalaya hai parwaano ki tarah. very nice.. |
Ty g
|
Re: | uth k jo chal diye |
Nice...
|
Re: | uth k jo chal diye |
Nice...
|
All times are GMT +5. The time now is 10:40 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.