![]() |
| gham kal bhi mera sarmaya tha |
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein Kabhi waqt miley tu aa jaana dil ka dar khula aaj bhi hai Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per Wo naam darakhtoon per likna wo khwab suhana aaj bhi hai Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai Ye ashk nahin hain aankhoon mein ye taaray jhilmil karte hain In aankhoon mein jo kal tak tha wo chaand sa chehra aaj bhi hai Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila Gham kal bhi mera sarmaaya tha gham mera warsa aaj bhi hai... |
nice brother
|
ty bro
|
Re: | gham kal bhi mera sarmaya tha |
Nice...
|
All times are GMT +5. The time now is 09:42 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.