![]() |
Kaisa maftooh sa manzar hai kai sadion say
Kaisa maftooh sa manzar hai kai sadion say meray qadmon pe mera sar hai kai sadion say khof rehta hai k sailaab na lay jaye kahee'n mere palko'n pe tera ghar hai kai sadio'n say uss kay pani mein bhi pehlay sa woh thehrao nahi ye jo bechain samander hai kai sadio'n say ashk aankhon mein sulgtay howe so jatay hain yeh meri ankh jo banjar hai kai sadion say kon kehta hai mulaqat meri aaj ki hai tu meri rooh ke ander hai kai sadio'n say yeh mujhe sans bhi khul ke nahi lenay daita meri sheh rag pe jo khanjar hai kai sadio'n say mein ne jiss ke liye her shakhs ko naraz kia rotth jaye na yehee darr hai kai sadio'n say uss ki aadat hai jarhain kaat-te rehnay ki *wasi* jo meri zaat ka mehwar hai kai sadio'n say |
V.Nyc
|
thnx shayan |
All times are GMT +5. The time now is 10:52 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.