![]() |
| dil mein ek lehar si uthi hai abhi|
dil main ik lahar si uthi hai abhi koi taza hawa chali hai abhi shor barpa hai khana-e-dil main koi diwar si giri hai abhi kuch to nazuk mizaj hain ham bhi aur ye chot bhi nai hai abhi bhari duniya main ji nahi lagta jane kis chiz ki kami hai abhi tu sharik-e-sukhan nahi hai to kya ham-sukhan teri khamoshi hai abhi yad k be-nishan jaziron se teri awaz a rahi hai abhi shahar k becharag galiyon main zindagi tujh ko dhundti hai abhi so gaye log us haweli k ek khirki magar khuli hai abhi tum to yaro abhi se uth baithe shahar main rat jagti hai abhi waqt acha bhi ayega 'Nasir' gam na kar zindagi pari hai abhi.... |
good
|
nicee
|
very nice..
|
good
|
ty safa
|
ty ruby
|
ty hfsa |
ty ammos
|
cool
|
All times are GMT +5. The time now is 11:05 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.