![]() |
Jee chahta ha tere naam aik kitab likhon
Jee chahta ha tere naam aik kitab likhon Is kitab ka tere naam intisab likhon Tuje sharminda karne ke liye main is main Tera our mera bybaak hisab likhon Main soch soch kar pagal sa ho geya houn Jhele hain jo tere gham main ne kaise wo azaab likhon De geya meri zindagi ko andhere wohi Khawish thi jise main aftab likhon Jo diye hain tu ne kanton ke bistar muje Buhat mushkil ha in kanton ko gulab likhon Muj se munafqat na ho sake gi dil ki baat main Dukhon ke samndar ko main kaise sarab likhon Ajab karb main mubtila kar diya tu ne muje Samajh nai aata tere khat ka kya jawab likhon Lafz to sab hi mita diye hain mere Aansoon ne Apni kehani ab main kaise teh-e-aab likhon Aik aik lafz yaad ha muje teri guftagu ka Khawish ha teri har baat ko khitab likhon Jis ki tabeer bi na mil saki muj ko ah dost Main apni kitab main kaise wo khawb likhon Lakhon chehron se haseen benaya tuje khuda ne magar Jo mera nai us chehre ko kaise mahtab likhon Yak tarfa faisla sunaya adalat-e-uzma ne Main is judge ko kaise izzat-e-mab likhon Har baat tu dil ki keh dali ha Is se ziyada our keya main janab likhon |
nyc khawab |
V.Nyc
|
nyc.
Ay kalam zara sambhal kar chal Yeh mere adab ka mukaam hai Kahin chubh na jaana tu usko Teri noak ke neeche meri zindagi ka naam hai |
All times are GMT +5. The time now is 08:34 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.