![]() |
Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai Wo such kahey na kahey aitbaar karna hai Yeh tujh ko jaagtey rehnay ka shauq kab say hua Mujhey toh khair tera intezaa karna hai Hawa kay zadd mai jalaaney hain ansooon kay chiraagh Kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hai Woh mukura kay nayee waswason mai daal gaya Khayal tha keh usay sharmsaar karna hai Misaal-e-shaakh-e-barehna khizaan ki rut mai kabhi Khud apnay jism ko bai barg-o-baar karna hai Tairay firaaq mai din kis tarhan kattey apnay Keh shughal-e-shab toh sitaarey shumaar karna hai Chaloo yeh ashq hi moti samajh kar baich ayeen Kisi tarhan toh humein roz gaar karna hai Kabhi toh dil mai chupay zakhm bhi numayan ho Qaba samajh kay badan taar taar karna hai Khuda khabar yeh koi zidd kay shauq hai "Mohsin" Khud apni jaan kay dushman say pyar karna hai |
V.Nyc
|
thnx shayan |
very nice
|
nice
|
very nyc ..
|
Quote:
|
Quote:
thnx mahum ali |
Re: Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
:bu:....
|
Re: Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Very Nice
|
All times are GMT +5. The time now is 06:50 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.