![]() |
" ShayeRi Sach BolTi Hai " (poetry Collection)
Sang-dil hai wo to kyun us ka gila main ne kiya Jab k khud pathar ko but,but ko khuda main ne kiya Kaise na-maanoos lafzoN ki kahaani tha wo shakhs Uss ko kitni mushkiloN se tarjuma main ne kiya Wo meri pehli mohabbat,wo meri pehli shikast Phir to paimaan-e-wafa sau martaba main ne kiya Hun saza-vaar-e-saza kyun jab muqaddar mein mere Jo bhi uss jaan-e-jahaaN ne likh diya,main ne kiya Wo THeherta kya k guzra tak nahiN jis k liye Ghar to ghar har raasta aaraasta main ne kiya Mujh pe apna jurm saabit ho na ho lekin FARAZ Loag kehte hain k uss ko bewafa main ne kiya |
Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai |
very nice collection..keep sharin !!!
|
Thanks For VistiNG :D
|
Husan walay shahbab lay ay……. cahman walay GULAB lay ay Shkeeh ji nay mang lii janat…. hum wahan say shahrab lay ay |
Dil jab tout-ta hai tu awaz nahi ati Har kesi ko dosti raas nahi ati Ye tu apny apny naseeb ki baat hai Koi bholta he nahi or kesi ko yad nahi ati |
KuCh na Kissi Sey Bolen Gey TaNhaii Main Ro LaiN Gey Hum BeY Rehbaron Ka Kiya Saath Kisi Ke Ho Len Gey Khud To Hoye Rusvaa Laikin TereY Bhaid Na Kholain Gey JeeWan Zehar Bhara Saagar Kab Tak Amrit Gholen Gey Neend To Kiya Ayee Gii 'Faraz' Maut Aaai' To So Lain Gey |
nice collection
|
tere hote hue mahafil me.n jalaate hai.n chiraaG log kyaa saadaa hai.n suuraj ko dikhaate hai.n chiraaG apanii maharuumiyo.n pe sharmindaa hai.n Khud nahii.n rakhate to auro.n ke bujhaate hai.n chiraaG bastiyaa.N chaa.Nd sitaaro.n pe basaane vaale kurraa-e-arz bujhaate jaate hai.n chiraaG kyaa Khabar hai un ko ke daaman bhii bha.Dak uThate hai.n jo zamaane kii havaao.n se bachaate hai.n chiraaG aisii taariikiiyaa.N aa.Nkho.n me.n basii hai.n 'Faraz' raat to raat ham din ko jalaate hai.n chiraaG |
tuj Seh Lafzoon Ka Nahi Ruh Ka Rishta Hai Mera Tu Meri Sansoon Mai Tehleel Hai Khushboo Ki Tara. |
All times are GMT +5. The time now is 04:27 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.