![]() |
| Kabhi Aah' Lab Per Machal Gayi' Kabhi Ashk Ankh Se Dhal Gaye |
Kabhii Aah lab pe machal gayii Kabhi ashk aankh se dhhal gaye Woh tumharay Gham ke chiraagh hain Kabhi bujhh gaye kabhii jal gaye Main Khayaal-o-Khwaab kii mehfilen naa Baqadr-e-Shauq sajaa sakaa Tumhari ik nazar ke saath hii mere sab iraaday badal gaye Kabhii Rung mein kabhii Ruup mein kabhii Chhaawn mein kabhii Dhuup mein Kahiin Aaftaab-e-Nazar hain woh Kahin Maahtaab mein dhhal gaye Jo Fanaa huay Ghum-e-Ishq mein unhen Zindagi kaa naa Ghum huaa Jo naa Apnii Aag mein jal sakay woh Paraayi Aag mein jal gaye Yaa unhein bhii merii tarah Junuun, to phir unn mein mujh mein yeh Farq kyaa Main Girift-e-Ghum se naa bach sakaa Woh Huduud-e-Ghum se nikal gaye |
bahut khoob....:flower4u:
|
V.Nyc :)
|
Thank You !
|
nice
|
Thank You !
|
bohat khoob
|
nyce k.g
|
Thanksss
|
| All times are GMT +5. The time now is 11:43 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.