![]() |
Roshni Ki Khuwahish Me !
Tuhmatain to lagti hain Roshni ki khawahish main Ghar se bahar aney ki kuch saza to milti hai Log log hotey hain Un ko kya khabar janan! Aap ke iradon ki, khoobsurat aankho main Basney waley khwabon ke rang kaise hotey hain Dil ki goud aangan main, palney wali baton ke Zakhm kaise hotey hain Kitney gehrey hotey hain Kab yeh soch saktey hain Aisi be-gunah aankhain Ghar ke koney khudron mian chup ke kitna roti hain Phir bhi yeh kahani se Apni kaj bayani se Is qadar rawani se, dastan sunatey hain Aur yaqeen ki aankhian Sach ke gham zada dil se, lag ke roney lagti hain Tuhmatain to lagti hain Roshni ki khwahish main Tuhmaton ke lagney se Dil se dost ko janan! Ab nidhal kiya karna Tuhmaton se kiya darna!!! |
osum shayan bhai
|
Thnx....
|
All times are GMT +5. The time now is 11:12 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.