![]() |
Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai.. Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai.. Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ? Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya Khayaal tha eh ussay sharamsaar karna hai Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon Qaba samajh kay badan taar taar karna hai Khda khabar yeah koi zid keh shouq hai mohsin Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai |
Re: Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
nice sharing brooo
|
Re: Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Zaberdas Bro :)
|
Re: Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
tfs.............
|
Re: Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
v.nyce
|
Re: Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Thanks a lot of You
God Bless You:) |
Re: Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Beautiful ...!!
|
All times are GMT +5. The time now is 02:05 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.