![]() |
Kangan - Famous Gazal of Wassi Shah
Kash main tere haseen haath ka kangan hota Tu bare pyar se, chao se bare maan ke sath Apni Nazuk si kalayi mein charhati mujh ko Aur betaabi se furqat ke khizaan lamhon mein Tu kisi soch mein dobi jo ghumati mujh ko Main terey hath ki khusbo se mehak sa jata Jab kabhi Mood mein aa kar mujhe chooma karti Tere honton ki main hiddat se dehak sa jata Raat ko jab bhi tu nendon ke safar per jati Marmarri hath ka ik takya banaya karti Main tere kaan se lag kar kayi batien karta Teri zulfon ko terey gaal ko choma karta Jab bhi tu band quba kholne lagti Jana... Apni ankhon ko terey husn se khaira karta Mujhko betaab sa rakhta teri chahat ka nasha Main teri rooh ke gulshan mein mehkta rehta Main terey jism ke aangan mein khanakta rehta Kuch nahi to yahi be naam sa bandhan hota Kash! Main tere haseen haath ka kangan hota (Wassi Shah) |
Re: Kangan - Famous Gazal of Wassi Shah
My Fav Ghazal ...Superb
|
Re: Kangan - Famous Gazal of Wassi Shah
thanks sis
|
Re: Kangan - Famous Gazal of Wassi Shah
Awsome ....
|
Re: Kangan - Famous Gazal of Wassi Shah
Nyx....
|
Re: Kangan - Famous Gazal of Wassi Shah
thanks all
|
Re: Kangan - Famous Gazal of Wassi Shah
:bu:.....
|
Re: Kangan - Famous Gazal of Wassi Shah
super
t4s |
Re: Kangan - Famous Gazal of Wassi Shah
very good
|
Re: Kangan - Famous Gazal of Wassi Shah
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 03:26 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.