MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Ramdan Ul Mubarak (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=63)
-   -   nafil 27 or 29 shab (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=23671)

K@IN@@T 09-17-2009 02:14 PM

nafil 27 or 29 shab
 
27 Shab -e- qadar 12 Rakaat nimaaz 3 salam se parhein her rakat mein baad surah fatha l surah qadar aik,aik martba surah akhla 15,15 martba parhein baad salam k 70 martba astagfar parhein

Allah Tala is nimaaz parhnay parhnay walay ko nabiyon ki ibadat ka sawab ata farmaye ga Insha Allah ul azeem

27ween shab ko 2 rakaat nimaz parhein her rakaat main surah fateha k baad surah qadaar teen teen dafa Surah Akhlas 5,5 martba parhein
baad salam k surah akhlas 27 martba parh ker gunahon ki magfirat talab karein Allah tala us k tumam peechlay gunnah muwaf farmaye ga Insha Allah

27 Shab ko 4 rakaat nimaaz 2 salam se parhni hai her rakaat main baad surah fateha k surah tukasir aik aik baar surah akhlaas 3,3 martba parhein

Is nimaaz ko parhnay walay per Allah Paak maut ki sakhti aasan akre ga
Insha Allah is per se Azaab-e-qabr bhi muwaf ho jaye ga

Aizan 27 Shab ko 2 rakaat nima parhein her rakat mein baad surah fateha k surah akhlas 7,7 martba parhein baad Salam k 70 Safa yeh tasbeeh muazim parhni hai

AStagfir-ul-Allah-hal-azim-al-alzi La Ilaha Ila HuWal Haiyul Qayumu Wa Aa Tubo Ilaih (yahan per toyen ka ra hai so waqaf karna hai se galay se sirf he ki aawaz nikle gi

Insha Allah tala is nimaaz ko parhnay walay apnay masalay se na uthein gay k Allah Paak us ko aur us k waliden k gunnah muwaf farmaye ga Allah Tala farishton ko hukam de ga k is k liye janat aarasta karo aur Farmaya k Woh jab tak tumam bahishti naimaten apni anakh se na dekh le ga us waqt tak maut na aasakay gi waste magfirat yeh nimaaz bohat afzal hai

Aizan27 Shab qadar ko 2 raqaat nimaz parhein her rakaat mein surah fateha k surah Nashrah aik aik baar surah akhlas 3,3 martba parhein baad salam k surah qadar parhein

Insha Allah ul azeem waste sawab be shumar ibadaat k yeh nimaz afzal hai

27 shab ko 4 rakaat nimaz parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar 3,3 dafa,surah akhlas 50 martba parhein baad Salam sajda main sar rakh ker aik martba yeh kalimaat parhein

Subhan Allahe Walhamdulilahe wa La ilaha ilalAllahu Wallah huAkbar

Us baad jo hajat dunyawi o deenwi talab kare insha Allah Tala dargah bari tala main qbaool ho gi

Wazaif

27 Shab qadar ko 7ween HAMEEM parhein yeh 7Ween HAMEEM azaab-e-qabar se nijaat aur magfirat gunah k liye bohat afzal hain

Aizan 27 shab ko Surah Mulk 7 martba parhni wasta magfirat gunnah bohat afzal hai

==============================================
5ween Shab-e-Qadar
29 Shab-e-Qadar ko 4 Rakaat nimaz do salam se parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar aik aik baar surah AKhlas teen teen martba parhein baad salam k surah nashrah satar(70) martba parhein

Yeh nimaz wasta kamil aimaan k bohat afzal hai

Insha Allah Tubarak o tala is nimaz k parhnayw laayt ko dunya se mukamal aimaan ks ath uthaye ga

Aizan Mah-e-Ramdan ki 29 Shab ko 4 raakat nimaz 2 salam se parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar aik aik baar surah akhlas 5,5 martba parhein
Baad salam k darood shareef aik soo martba parhein

Insha Allah is nimaaz k parhnay walay ko darbar-e-Khudawandi se bakhsheesh magfirat ata ki jaye gi

Wazaif

Mah--e-Ramdan ul mubarak ki 29 shab ko 7 martba surah Waqiya parhein insha Allah taraqi rizq k liye bohat afzal hai

Mah-e-Ramdan ki kis shab main baad nimaz -e-isha 7 martba surah Qadar parhni bohat afzal hai
insha Allah tala is k parhnay se her museebt se nijat hasil ho gi

AYAZ 09-17-2009 05:49 PM

Re: nafil 27 or 29 shab
 
ager refrence bhi deiti ap tou ziyada acha hota confirm ho jata because mei nie nahi suna aesa kuch .

zamir 09-18-2009 03:33 AM

Re: nafil 27 or 29 shab
 
jazzah kallah!!!

K@IN@@T 09-19-2009 03:07 PM

Re: nafil 27 or 29 shab
 
Asal mai yeh sab cheezay parhna farz nahi hai
ainda ishallah jo bhi share karo gi references k saath karo gi


All times are GMT +5. The time now is 02:33 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.