![]() |
Har Thokar Ne Meri Mujhko
Har Thokar Ne Meri Mujhko Chalna Sikha Diya Mere Aankho Ke Aansuo Ne Mujhe Khul Ke Hasna Sikha Diya Samundar Ki Lehro Ne Mujhe Ghir Kar Phir Se Ubarna Sikha Diya Baarish Ki Boondo Ne Zameen Pe Rehna Sikha Diya Phoolo Ne Toot Kar Bhi Mehakna Sikha Diya Tara Toot Jane Par Bhi Kisi Ke Kaam Aata Hai Zindagi Ki Sachaiyo Ne Mujhe Chalte Rehna Sikha Diya Woh Fakeer Jo Do Roti Ke Liye Taras Jaata Hai Majbooriyo Mein Jazbaaton Ka Had Se Guzarna Sikha Diya Aage Yuh To Karvaan Chalte Rahega "Khwaish" Waqt Ne Aankhon Ki Nami Ke Saath-Saath Muskuraane Ka Hunar Sikha Diya Gile-Shikwe Se Kuch Nahi Haasil "Khwaish" Waqt Ne Halaat Se Ladna Sikha Diya |
Re: Har Thokar Ne Meri Mujhko
sooper.....
Mohabbat Esa Nagma Hai Zara Bhi Jhul Honay Main Tu Sur Qaeem Nahi Hota Mohabbat Esa Shula Hai Hawa Jesi Bhi Chalti Ho Kabhi Madham Nahi Hota Mohabbat Esa Rishta Hai Keh Jis Main Bhandnay Walon Ko Dilo Main Ghum Nahi Hota Mohabbat Esa Pouda Hai Jo Tab Bhi Sabz Rehta Hai Keh Jab Mousam Nahi Hota Mohabbat Esa Darya Hai Keh Barish Routh Bhi Jaye Tu Tu Paani Kam Nahi Hota |
Re: Har Thokar Ne Meri Mujhko
thanx life2 sis
zabardast mohabbat soz bhii hai saaz bhii hai Khaamoshii bhii hai aavaaz bhii hai nasheman ke liye betaab taa_iir vahaa.N paabandii-e-paravaaz bhii hai Khaamoshii pe bharosaa karane vaalo Khaamoshii Gam kaa gammaaz bhii hai merii Khaamoshi-e-dil par na jaao ki is me.n ruuh kii aavaaz bhii hai dil-e-begaanaa-Khuu, duniyaa m.n teraa ko_ii hamadam ko_ii hamaraaz bhii hai hai meraaj-e-Khirad bhii arsh-e-aziim junuu.N kaa farsh-e-paa a.ndaaz bhii hai |
Re: Har Thokar Ne Meri Mujhko
v.nyec
|
Re: Har Thokar Ne Meri Mujhko
good one
|
| All times are GMT +5. The time now is 05:17 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.