![]() |
kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai
kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai ham bada-kashon k hise ko ab jam main kam kam ati hai yun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil pani hote hain tum lakh raza k khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai bedad-garon ki basti hai yan dad kahan fariyad kahan sar phorti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jati hai han ji k zayan k ham ko bhi tashwish hai lekin kya kjiye har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai ab kucha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to bat bane pahre se udu talte hi nahin aur rat barabar jati hai ham ahal-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subah-e-watan yadon se muattar ati hai ashkon se munawwar jati hai... |
Nyc
|
nyc....
|
thanx ghunchaaa
|
Quote:
|
Re: kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai
niceeee sharing
|
Re: kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai
Bhout khoob
|
All times are GMT +5. The time now is 09:31 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.