![]() |
Gali aakhiri hai, Nagar aakhiri hai…
Gali aakhiri hai, Nagar aakhiri hai… Ruki Zindgee kaa safar aakhiri hai… Kabhi na kamaaya hai palkoN tale jo.. Un ashqoN kaa rukh* pe basar aakhiri hai KahiN wo chupe haiN isi kaafile maiN.. Mujhe dekhti jo nazar aakhiri hai.. Meri bebasi thi akela hee chalna.. KhalaaoN* bhari ye dagar aakhiri hai.. Tu royaa badaa hai mujhe saath paakar.. Na gham kar ghadi ye agar aakhiri hai… Ki khaamosh rehna mera bheed bhar maiN.. Ye hi aaj arz-e-hunar* aakhiri hai.. ‘Sifar’ hi hai gar haasil-e-dam* meri jaaN.. Khuda ki panaah hi shikhar aakhiri hai.. HaaN…! Hanshi aakhiri hai, jigar aakhiri hai.. Ruki Zindgi ka, safar aakhiri hai .. |
Re: Gali aakhiri hai, Nagar aakhiri hai…
nice one....
|
Re: Gali aakhiri hai, Nagar aakhiri hai…
thanksss
|
Re: Gali aakhiri hai, Nagar aakhiri hai…
Nice ....
|
Re: Gali aakhiri hai, Nagar aakhiri hai…
thankss
|
Re: Gali aakhiri hai, Nagar aakhiri hai…
v.nyce
|
Re: Gali aakhiri hai, Nagar aakhiri hai…
thankssss
|
All times are GMT +5. The time now is 07:48 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.