![]() |
Aankho main
Aankhon main khuwab rakhna mumkin nahi raha ab
Sach hai mera sambhalna mumkin nahi raha ab Jatay huwe thi us ki aankhon mein jo udaasi Woh keh rahi thi milna mumkin nahi raha ab Kis ko kahein mohabbat kis ko kahein wafa Yun aatebar karna mumkin nahi raha ab Thi tark-e-talluq ki ab ibtada zaroori Shayad k sath chalna mumkin nahi raha ab Ab intezar kyun hai dil beqarar kyun hai Us ka to lot aana mumkin nahi raha ab Hai her taraf andhera ruswaiyon ka dor hai Ghar se bahar nikalna mumkin nahi raha ab |
Nyc
|
thnx sis
|
nyc siso....
|
| All times are GMT +5. The time now is 04:38 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.