![]() |
Quran main parday ka hukum
Quran main parday ka hukum Allah says, (ae nabi sallallaho alehe wasallam) musalman mardon se keh day (orton k samnay aaen to) apni nigahen nichi rakhen, or apni satar ki nigehdasht se ghafil na hon, ye un k liye ziada paak nafsi ka tariqa hoga, wo jo kuch bhi kertay hain Allah k ilm se poshida nahi, or isi tarha musalman orton se bhi kehday, (mardon k saamnay aaen to) nigahen nichi rakhen, or apnay satar ki nigehdasht se ghafil na hon, apna banao chunao logon ko na dikhaen, magar haan isi qadar (k lazmi tor per) dekhnay main ata hay,apnay seeno pe orhni ka palla dalay rahen, apna banao chunao sirf apnay shohar hi k samnay khula rakhen, ya phir baap, susar, beta, shohar ka beta, bhai, bhatija , bhanja, orten, ya londi ghulam hon , ya ghar k aisay khadim jinhen, (orton ki) koi talab nahi, (yani borhay khidmat gaar) ya kamsin larkay hon jo abi orton ki parday ki baton se agah nhi houay, nez (raah chaltay houay) apnay paaon istarha na maren k zinat ki chizen jo andar pehni hoi hain, unse log bakhabar hojaen. (yani pazeb ki jhankar na uthay), or musalmano tum sub Allah k huzoor toba karo k kamiab ho. ( soora noor, ayat 30-31) |
Re: Quran main parday ka hukum
awwwwwwwwwwwwwwwwwwwwww kAsh koi is par amal hi kaare
nice sharing |
Re: Quran main parday ka hukum
Allah um ameen subhanallah shukrriya bahut sis :)
|
Re: Quran main parday ka hukum
thanks alot sis
thanks bro kartay hain woh log jin ke dilo main ajj be ALLAH aur os ke Rasool ka daar hay |
Re: Quran main parday ka hukum
BILKUL INSHALLAH hum apni koshish karengay haina sis :) kisi ko tu amal karna hi hoga na mulmaan jo hain sab ALHUDMULILLAH :)
|
Re: Quran main parday ka hukum
yep i agreee sis
|
Re: Quran main parday ka hukum
thnko :)
|
Re: Quran main parday ka hukum
jazakallah
|
Re: Quran main parday ka hukum
thanks
|
Re: Quran main parday ka hukum
Jazak allah
|
| All times are GMT +5. The time now is 04:02 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.