![]() |
Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha
Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha Woh jo uss ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawal tha Mera dard kaisay woh janta, meri baat kaisay woh manta Woh tou khud fana kay safr mein tha, ussay rokna bhi ma'haal tha Kahan jao gay muje chor kay, mein pooch pooch kay thak gya Woh muj ko jawab na day saka, woh tou khud sarapa-e-sawal tha Dam-e-wapsi ussay kya hua, na woh roshni na woh tazgi Woh sitara kaisay bikhar gya jo aap apni misal tha Woh mila tou sadyoon kay baad bhi merey lab pe koi gila na tha Ussay meri chup ne rula diya jissay guftugoo mein kamal tha |
Re: Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha
Yea poetry jab bhi read karta hon Zindagi ka flashback on ho jata he lolzzzz Buhat khubsurat shairi he yea wakai sab se munfarid kuch Ashaar aap ki nazer karta hon mulahiza farmaiye Hum say hota wo kisi aur bahanay say ALAG Hum nay chaha hay jissay saray zamanay say ALAG Hum say bichra to khula bheed yea hum par ek shaks Apnay ghar say hi nahi tha wo gharanay say ALAG Chain lenay na dia gardish-e-dooran nay mujhay Mera kissa hay mohabbat kay fasanay say ALAG |
Re: Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha
wow beautiful...... bht khooob
|
Re: Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha
nice sharing...........
|
Re: Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha
thanksss
|
Re: Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha
Nice .......
|
Re: Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha
thanks
|
Re: Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha
nice shairing
|
Re: Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha
Shukriya..........
|
Re: Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha
thanksss
|
All times are GMT +5. The time now is 11:30 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.