![]() |
Humein ye roz-o-shab ka silsila acha nahi lagta
Humein ye roz-o-shab ka silsila acha nahi lagta Kisi se baat kerna ho' koi bhi zakhm bharna ho Kabhi be-haal hoker koo'ey jana'n se guzarna ho Tumhari yaad mein rehna ho ke khud se mukurna ho Kisi harf-e-tassali se ye dil ka zakhm bharna ho Mohabbat ki dua honton pe rakh k muskurana ho Darakhto'n pe tumahra naam likh ker bhool jana ho Kisi be-khawab shab mein chashm-e-viraa'n ko sulana ho Tumhari kushbu'on se khemai-e-jaa'n ko sajana ho Ya phir shehr-e-sakoot-e-shaam-e-gham mein geet gana ho Yunhi be-wajha keffiyat mein ashko'n ko bahana ho Kisi jazbey ka bhi chehra humein sacha nahi lagta K AB TO ROZ-O-SHAB KA SILSILA ACHA NAHI LAGTA . |
nice
|
niceee |
Quote:
|
Quote:
|
nice
|
thx
|
Nice..
|
Quote:
|
Re: Humein ye roz-o-shab ka silsila acha nahi lagta
great sharing........
|
All times are GMT +5. The time now is 06:08 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.