![]() |
Phir kissi yaad ney
Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko Youn to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha Maut nay payar say pehloo main bithaya mujh ko Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko Kaisay bhoolon gi wohi wasl kay lamhay Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko |
good
|
Thanks..
|
nice..
|
wah
|
V.Nice
|
All times are GMT +5. The time now is 04:55 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.