![]() |
Hamaara kya hai..
Hamaara kya hai.. Hamaara kya hai.. kay ham tou chiraagh-e-shab ki tarah Agar jale bhi too bas.. itni roshni hogi Kay jaisay tund andheron ki raah mein jugnuu Zaraa si der ko chamke.. chamak ke kho jaaye Phir is ke baad kisi ko na kuchh sujhayee day Na shab kate na suraagh-e-sahar dikhayee day Hamaara kya hai ke ham to pas-e-ghubaar- e-safar Agar chale bhi to bas itni raah tay hogi Ke tez havaaon ki zard maail naqsh-e-qadam Zaraa si der ko ubhre.. ubhar kay mit jaaye Phir us ke baad na raastaa na rah guzar milay Hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar milay Hamaari simt na dekho ke koi der mein ham Qabeela-e-dil- o-jaan judaa honay walay hain Base basaaye huye shahar apni aankhon kay Misl-e-khaanaa- e-veeraan ujarnay wale hain Hawa ka shor ye hi hai tou dekhte rehna Hamaari umar ke khaimein ukharne waale hain |
Re: Hamaara kya hai..
gud................
|
Re: Hamaara kya hai..
nice one
|
Re: Hamaara kya hai..
Nice ......!!
|
Re: Hamaara kya hai..
thx 4 likeing girls
|
All times are GMT +5. The time now is 09:59 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.