![]() |
Aansoo bahana
Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi Sath reh kar bhi us ko na pana acha lagta hai Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain Phool samjh kar kantoon per chalna acha lagta hai Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai Gham chupa kar mehfil ko sajana acha lagta hai Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain Tanhai main gham k ansoo bahana acha lagta hai Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil Us ki yaad main ratoon ko jaagna acha lagta hai Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay Zakham kha kar bhi muskurana acha lagta hai Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se Tab apnay ansoon ko chupana acha lagta hai Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin Phir bhi khud ko ameer batana acha lagta hai Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand Phir bhi baymool bik jana acha lagta hai Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay Phir bhi is ko chahna acha lagta hai Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi Phir bhi safer kartay rehna acha lagta hai Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain Phir bhi is ka intazar kartay rehna acha lagta hai…! |
Re: Aansoo bahana
nyc...
|
Re: Aansoo bahana
Nice....
|
All times are GMT +5. The time now is 09:42 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.