![]() |
Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha
Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha
K dil k khel mai kia jeetne walay bhi rote hain Wo jin ki chashm-e-khudbeen or ko dekha nahi karti bhala kis dil se gham k taar mai moti pirote hain Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha K kia manind-e-sheesha patharon mai baal bhi ata hai Asar angez hai ab tak muhabbat ka wohi jazba Jo aise Hoshmando ko bhi yun pagal banata hai Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha Mizaj-e-husn mai yun yak baik kia inqilab aya Sitare dekhna or dekh kar Afsurda hojana Bari dair se tumko Sitaro ka hisab aya Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha K tark-e-rabt par kia mujh se wahshi yad ate hain Taaluq torna asan tha tu phir Ankhh kyu nam hai ANA parwar,jifa pesha bhi yun Ansoon bahate hain Tumhari bhegti palkon se maine barha poocha K jalne or jalane mai bhala kia lutf ata hai Bas aik jhoti ANA k waste barbad hojana KHUDI k zaym mai Insan kitne Dukh uthata hai........... Tumhari bhegti palkon se maine barha poocha ............. |
Re: Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha
very nice
|
Re: Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha
thank you very much
|
Re: Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha
vv nicee
|
All times are GMT +5. The time now is 11:48 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.