![]() |
giriftaa_dil hain bahut aaj tere diivaane
giriftaa_dil hain bahut aaj tere diivaane
Khudaa kare koii tere sivaa na pahachaane miTii miTii sii ummiidein thake thake se Khayaal bujhe bujhe se nigaahon mein Gam ke afasaane hazaar shukr ke ham ne zubaaN se kuchh na kahaa ye aur baat ke puuchhaa na ahal-e-duniyaa ne baqadr-e-tashnaa_labii pursish-e-vafaa na huii chhalak ke rah gaye terii nazar ke paimaane Khayaal aa gayaa maayuus rah_guzaaron kaa palaT ke aa gaye manzil se tere diivaane kahaaN hai tuu ke tere intazaar mein ai dost tamaam raat sulagate rahe dil ke viiraane ummiid-e-pursish-e-Gam kis se kiijiye 'Nasir' jo mere dil pe guzaratii hai koi kyaa jaane |
Re: giriftaa_dil hain bahut aaj tere diivaane
nyc,,,,
|
Re: giriftaa_dil hain bahut aaj tere diivaane
Nice ....
|
Re: giriftaa_dil hain bahut aaj tere diivaane
bohooot khuub siso
keep it up :) |
Re: giriftaa_dil hain bahut aaj tere diivaane
v nice
|
| All times are GMT +5. The time now is 12:50 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.