![]() |
Meri Pasandeeda Nazmen
phir wahi kala dhuwan insani jano ka ziyan aah o faghan aur siskiyan dam torti insaiat ki hichkiyan khof ka dahshat ka wahshat ka saman phir se barhti talkhiyan woh hi zaban woh hi bayan aey khuda e maherban al hafeez o al amaan sakinan e shahar e be amaan akhrash jaeyn kahan ? |
Re: Meri Pasandeeda Nazmen
mera forum bhi ajib dunya hai rat bhar jagta rahta hun men doston se rahen mulaqaten guftugu tazkire sukhan goi tarz e izhar ki nae rahen doston ki khuli huwi bahen mera forum bhi ajib dunya hai har koi apne apne rang men hai nagma e zindage tarang men hai roz sajti hen mehfilen dil ki ajnabi dost ban kay milte hen phool bhi shaak e jan pe khilte hen ek fareb e nazar kisi kay liey falsafon ka nagar kisi kay liey mah jamalon ka intakhab hai yeh ahal e fun kay liey kitab hai yeh mera forum bhi ajib dunya hai |
Re: Meri Pasandeeda Nazmen
aj mera qalam udas sa hai aj likhne ko g nahi karta beqarari si beqarari hai aur mausam ki kuch khata bhi hai kuch bhi karne ko g nahi karta bat kahni hai par kahun kese ? ek ajab kashmakash men hun pyare kia kahun kia nahi kahun tum se ? q na khamosh hi rahun pyare ? zakham sahne ko g nahi karta kuch bhi kahne ko g nahi karta |
Re: Meri Pasandeeda Nazmen
Quote:
vvvvv nice |
Re: Meri Pasandeeda Nazmen
Quote:
vvvvvvv niceee |
Re: Meri Pasandeeda Nazmen
Quote:
zabardast |
Re: Meri Pasandeeda Nazmen
thank you so much urooj :)
|
Re: Meri Pasandeeda Nazmen
Its My Pleasure |
Re: Meri Pasandeeda Nazmen
Quote:
sO true .... AwesOme .... k33p it up !! |
Re: Meri Pasandeeda Nazmen
thx alot kinza
|
All times are GMT +5. The time now is 02:53 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.