![]() |
aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa vo shaKhs ek shaam meiN kitnaa badal gayaa kuch din to mera aks raha aaii’ne pe naqsh phir yuuN huaa, ke khud miraa chehraa badal gayaa jab apne apne haal pe hum tum na reh sake to kyaa huaa jo ham se zamanah badal gayaa qadmoN talay jo ret bichhi thii vo chal paRii us ne chhuRaya haath to sehra badal gayaa koyii bhi chiiz apni jagah par nahiN rahii jaate hii ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa ik sarKhushi ki mauj ne kaisa kiyaa kamaal wo bay-nayaaz saaraa ka saaraa badal gayaa uTh kar chalaa gayaa koii waqfe ke darmiyaaN pardaa uThaa to saara tamashaa badal gayaa hairat se saare lafz use dekhte rahe baatoN meN apni baat ko kaisaa badal gayaa kehne ko ek sehn meN diivaar hii bani i ghar ki fazaa makaan ka naqsha badal gayaa shaayad vafa kay khel se uktaa gayaa tha vo manzil kay paas aake jo rasta badal gayaa qaayem kisii bhi haal pay duniya nahiN rahi i ta’biir kho gayii kabhi sapnaa badal gayaa manzar ka rang asl meiN saaya tha rang kaa jis ne use jidhar say bhi dekhaa, badal gayaa andar ke mausimoN ki khabar us ko ho gayi i us nau-bahaar-e-naaz ka chehra badal gayaa aankhoN meiN jitne ashk the jugnuu se ban gaye vo muskuraaya aur mirii dunyaa badal gayaa apni galii meN apna hi ghar dhuuNDhte haiN log Amjad yeh kaun shehr ka naqsha badal gayaa! |
Re: aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
zabardast hia JM
|
Re: aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
Thnx Jani
|
Re: aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
Beautiful Malik
|
Re: aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
Thnxxxxxxxxxxxx
|
Re: aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
Beautiful ...
|
Re: aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
Buhat Khoob
|
Re: aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
Thnxxxxxxxx
|
All times are GMT +5. The time now is 04:45 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.