![]() |
zindagi bher zindagi ki justujoo kartey rahey..
kis mataa-e-shauq kii ham justujuu karte rahe
zindagii bhar zindagii kii justujuu karte rahe jab hariifon kii zubaan thii shola-guftaari meg gark ham taGazzul kii zubaan mein guftguu karte rahe aur honge jinko chaak-daamaanii pe naaz ham junuun men chaak-e-daamaan ko rafuu karte rahe asal mein ham they tumhaare saath mahv-e-guftgu jab khud apne aap se ham guftgu karte rahe unko ab nafa-o-zarar kii baat kyaa samjhain ham voh jo sauda-e-mataa-e-aabruu karte rahe koii ye Azad se puuchhe ki apne dil se duur tum kahaan jaa kar talaash-e-ran-o-buu karte rahe |
Re: zindagi bher zindagi ki justujoo kartey rahey..
acha likha hai......pahla shair pasand aaya........daad ke taur per aap ko ye :cake: diya jata hai........:)
|
Re: zindagi bher zindagi ki justujoo kartey rahey..
buhat shandar shaam
|
Re: zindagi bher zindagi ki justujoo kartey rahey..
shukria safa ji
thanks LALA.... |
All times are GMT +5. The time now is 02:31 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.