![]() |
TAUBA aur ASTAGHFAAR me farq
ASTAGHFAAR:
Astaghfaar Lafz "GHAFAR" sei nikla hai jis ke maynei dhanpne wali ke hain Ghafar arbi me us lohey ki topi ko bhi kahtey hain jo jung me sar par pehni jati hai. isi lia astaghfaar kasrat sei parhnei ka hukum hai ke yah pichlei gunah dhanp deiti hai maaf kardeti hai. TAUBA: Tauba karna ya Tayib hona ka mafhoom is tarha hai ke jaisey hum ek rastey pei jarahey hon aur apna rasta badal kar wapis hojain ya kisi sahi rastey pei chalnei lagein. Tauiba karne wala yah tahiya karta hai ke wo ab ke baad gunnah ki zindagi aur gunaho sei hattul imkaan bachnei ki koshish karei ga aur Allah ki raza aur Nabi SAW ki sunnat ko her cheez me muaqaddam rakhey ga. Allah jis tarha hamari nekio ko khuloos ki bunyaad per 10 sei 70000 gunna barha deta hai isi tarha dil sei tayib hone walei ke gunnah ko nekio me badal kar un nekiop ko isi tarha barha deta hai yah merei Rab ki shaan e kareemi hai Allah mujhey Tauba karne ki taufeeq ata farmaye Ameen. |
Re: TAUBA aur ASTAGHFAAR me farq
Aameeen...MashALLAH Really Great.. =) ...
Astaghfaar (Meaning in Arabic Istilaah) = Satr Uz Zumb wa Tajawazu Unho ... [ Gunnah ko Chupa dena aur unsy Tajawuz kerna] |
Re: TAUBA aur ASTAGHFAAR me farq
ji istilaahi maynei yahi hain.
thanks for telling us. |
All times are GMT +5. The time now is 03:30 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.