![]() |
Hai ishq magar
marne ka tire Gham meiN iradah bhi nahiiN hai hai ishq magar, itna ziyaadah bhi nahiiN hai hai yuuN k ibaadat ki zabaN aur hai ko’ii kaaGhaz mirii taqdeer ka saadah bhi nahiiN hai kyuN dekhte rehte haiN sitaroN ki taraf hum jab unse mulaqaat ka vaadah bhi nahiiN hai kyuN raah ke manzar meiN ulhaj jaati haiN aankheN jab dil meiN ko’ii aur iradah bhi nahiiN hai kyuN uski taraf dekh k paaoN nahiiN uThte wo shaKhS haseeN itna ziyaadah bhi nahiiN hai kis moR pe le aaya hameN hijr-e-musalsal taa had- e-nigaah vasl ka vaadah bhi nahiiN hai paththar ki tarah sard hai kyuN aaNkh kisii kii Amjad jo bichaRne ka iradah bhi nahiiN hai |
Re: Hai ishq magar
zabardasttt........:super:
|
Re: Hai ishq magar
Nice one Gugu per kia apko he sad shayari mein nhi post krni chahiye thi ? |
Re: Hai ishq magar
bohuuuttt khuuuub
T 4 S keep rockin :s1: |
Re: Hai ishq magar
Anokhi mujhay yeh sad nahi lagi :current:
isi lyee yahan post ki thanks for liking guys :D |
| All times are GMT +5. The time now is 10:06 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.