![]() |
wo koi aur na tha chand Khushk patte the
wo koi aur na tha chand Khushk patte the
shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the tumhare bad chaman par jab ik nazar dali kali kali main Khizan k chirag jalate the tamam umr wafa ke gunahgar rahe ye aur bat ki ham adami to ache the shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di pahar gunjte the dasht sansanate the wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar jo zindagi se gurezan the roz marte the naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main hamare dil main kabhi khet lahlahate the ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main purane log naye admi se darte the 'Nadeem' jo bhi mulaqat thi adhuri thi k ek chehre ke piche hazar chehre the |
Re: wo koi aur na tha chand Khushk patte the
Nice..
|
Re: wo koi aur na tha chand Khushk patte the
Thanks
|
Re: wo koi aur na tha chand Khushk patte the
nice........
|
Re: wo koi aur na tha chand Khushk patte the
v nice
|
Re: wo koi aur na tha chand Khushk patte the
Thanks
|
Re: wo koi aur na tha chand Khushk patte the
-‘๑’- шОщ -‘๑’- ..:: GоОd pО$т ::.. THAЙК$ FОЯ $HAЯЇИG http://dl6.glitter-graphics.net/pub/...o9kz570twq.gif |
Re: wo koi aur na tha chand Khushk patte the
WoOoow
Nice ...!! |
All times are GMT +5. The time now is 04:50 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.