MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Great Urdu Poets&Poetry (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=76)
-   -   -:||:- John Elia -:||:- (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=62141)

Owi 07-06-2011 06:05 PM

-:||:- John Elia -:||:-
 
-:||:- As-salaam-o-alaikuM -:||:-


Main aap sab k saamnay aik aisay insaan or us ki shaairi ko manzer-e-aam per laana chaahta hoon k jis insaan ko main shaairi mein apna imaam keh sakta hoon, is insaan ko wo qadar-o-manzilat haasil na ho saki mager wo apnay andaaz ka aik alag hi qisim ka munfarid shaair raha. Or us shaair ka naam hai JOHN ELIA.

-:||:- JOHN ELIA -:||:-


JOHN ELIA shaair-e-shikayaat thay, wo aik aisa baaja thay jo teevar suron mein talkh naghmay gaaya kerta hai, apnay ehsasaasaat k hawaalay say wo aik hassaas bachay ki terhan thay, unho nay apni haseen tareen nasar mein khud-kalaami ki soorat apnay merhoom waalid say guftugoo kertay huway khud bhi is baat ka aitayraaf kiya hai k BABA MAIN BARA NAHI HO SAKA.
Ager AASHIQAAN-E-JOHN ELIA ki nazer say dekha jaaye to derd k saat samander lehraatay hein in paanch alfaaz mein k ….. BABA MAIN BARA NAHI HO SAKA.
Or ye aadha jumla hai k BABA MAIN BARA NAHI HO SAKA. Or aik bohat hi baray ehsaas-e-derd k khouf say JOHN ELIA nay hi in paanch alfaaz k aagay full stop rakh diya. Ye in ka khouf tha, isi liye unho nay ye jumla aadha hi chor diya ager wo jumla mukammal kernay k liye in alfaaz ko aagay berhaatay to phir shaayad qalam ki nok aik teer ki terhan in k dil mein paywast ho jaati ya phir paar.
Is raaz ko sirf haal-e-mehram qaari hi jaantay hein k in k mehboob writer nay kya nahi likha, likha hua to sab hi perhtay hein or ye koi bari baat bhi nahi, asal muta-allaa to wo hai k jis mein wo kuch perha jaaye k jo likha nahi gaya.
Her wo kitaab k jo manzer-e-aam per aati hai ….. wo perchaai hoti hai ….. aik saaya sa hota hai, us kitaab ka k jo nahi likhi gai, ya jo nahi likhi jaa saki, us aadhay jumlay k maanind k jo JOHN ELIA nay ye likh ker chor diya k ….. BABA MAIN BARA NAHI HO SAKA. Ager wo is jumlay ko mukammal kerta to is k ilaawa or kya likhta k BABA MAIN BARA NAHI HO SAKA or boorha ho gaya. Uffhhh ….. aik bachay ka boorha hona itna bara almiyaa hai jitna bara almiyaa bayaan kernay ki taqat GRAGE TRAGESED mein bhi nahi.

JOHN ELIA Kya Tha ?


Ager is waqt mujh say ye sawaal poocha jaaye to main yehi likh sakta hoon k wo aik BOORHA BACHA tha, aik CHANCHAL mager YATEEMI or LAAWAARISI k ehsaas talay dab ker BOHAT BIGER JAANAY WAALA BACHA jo sab samhajta tha. Isi liye to kehta tha k …..

MUJH KO TO KOI TOKTA BHI NAHI
YEHI HOTA HAI KHAANDAAN MEIN KYA


Is JOHN ELIA ki isi kayfiyat k baais is ki shaairi ko aik alag hi payraahan mila, ik naya lehja, ik naya andaaz, ik alag thalag asloob is k hissay mein aaya.

Duniya-e-sukhan mein JOHN ELIA naami shaair ko wo mansab naseeb nahi hua k jis per mirza ghalib mojood hein, jis per allama iqbal nay apnay aap ko up-to date kiya, jo hum faiz-ahmed-faiz naami is faqeer ko daytay hein k jo aik eemaandaar inqaylaabi tha.

Mager is baat say to koi kaafir sukhan hi inkaar ker sakta hai k JOHN ELIA k hissay mein wo infraadiyat aai k jis k liye bohat baray shaair tarastay hein. Is liye JOHN ELIA bhalay baray shaair na ban sakay, bhalay un k hissay mein maqbooliyat na aai mager wo apnay makhsoos mizaaj ki suchaai ki wajha say aik munfarid shaair zaroor ban gaye. Wo aik aisay shaair ban gaye k jinhein is shair ka tohfa diya jaa sakta hai k …..

MAIN IN KA NAAM NA LOON PHIR BHI LOG PEHCHAANEIN
K TA-ARRUF AAP APNA HAWA BAHAAR KI HAI


Baat sirf bahaar hi ki nahi balkay khizaan ki hawa bhi, wo pat-jhar ki pawan ….. Wo bhi to apna ta-arruf aap hoti hai, azeem shaairi pat-jhar ki pawan hoti hai.

Ghalib ki shaairi bhi pat-jhar ki pawan hai, udaasi say bhari hui, pairon mein tootay patton ki paayal baandh ker naachti hui aik akayli or udaas raqqaasa jis ka mann sirf piyaar ka piyaasa, aik aisi aurat jo suchay piyaar ko hi haasil-e-zindagi samhajti hai, jo bungla or gaari nahi maangti or na jhumka or car maangti hai, wo to sirf or sirf dil ka qaraar maangti hai or jo usay nahi milta.

Ghalib ki shaairi aisi hai jaisay aik pagal premeeka jo kabhi meera ka roop ikhtiyaar kerti hai to kabhi baala khaanay ki us raqqaasa ka k jis ka naam sharat chandar chaid jee nay chander mukhi rakha tha, devdaas naami ik novel mein jo film bannay k baad mashoor hui.

Faiz ki shaairi mein bhi ik udaasi hai, mager wo udaasi aisi hai jaisi udaasi ik qaid inqaylaabi k muqaiyad aangan mein lehraati hai, ummeed k taar taar daaman ko sambhaalti hui, kabhi girti, kabhi sambhalti hui ik zakhmi mager jee haarnay say inkaar kernay waali ik gehri udaasi faiz ki shaairi ki pehchaan hai.

Or aik chanchal udaasi ibn-e-insha ka bhi muqaddar bani.

Iqbal nay is udaasi ko payghambaraana azmat say humkinaar kernay ki koshish ki.

Kaisay mumkin hai ?

K shaairi ho or udaasi na ho ?

Kaisay mumkin hai ?

Mager her udaasi ka ik apna rung, apna dhang or ik apna roop hua kerta hai.


JOHN ELIA ….. is khuda k banday k paas ye rung bohat hi talkh nawaai k saath aaya, wo pat-jhar pawan mein hi nahi wo to mosam-e-khizaan k seenay say uthnay waala wo toofaan thay jo sirf pattay hi nahi bikhayrtaa balkay jaron ko bhi hilaata hai.

AIK BOHAT BARAY TALKH TOOFAAN KA NAAM HAI
-:||:- JOHN ELIA -:||:-


Wo JOHN ELIA k jo ik bohat hi naraaz bachay ki terhan bolta tha, jo bohat talkh tha, jis ki talkhi ki ik wajha ye bhi thi k wo bara nahi ho saka tha, wo bara hona chaahta tha, mager wo udaas no-jawaan kabhi bara ho ker jawaan nahi ho paaya, us nay her aurat ki aaghosh mein ik bachay ki terhan panaah layni chaahi mager wo mohabbat k dais ka jila-watan fard hi raha. Her khaatoon aik kaamiyaab mard ka khuwaab dekhti hai mager JOHN ELIA aik na-kaam insaan tha is liye isay khawaateen or aqwaam say naa-pasandeedgi hi naseeb hui or us nay apnay wo sukhan k jo samaaj mein qadar ki nigaah say nahi dekhay jaatay balkay jin ko bohat naa-pasand kiya jaata hai is nay wo saaray sukhan shair mein sanwaaray thay.

Guzishta dino meray aik dost nay mujhay PTV k aik mazaahiya program 50-50 mein ki jaanay waali mazaahiya parody sunaai jis mein aik shaair udaasi ki kamaal ada-kaari kertay huway apna shair paish kerta hai or jis mein wo kuch poochta hai or kuch kehta hai …..

KYA WO SARAK HUI TAMAAM
HAAN WO SARAK HUI TAMAAM

KYA WO TRUCK GUZER GAYE
HAAN WO TRUCK GUZER GAYE


Ye parody jab main nay suni to main nay apnay dost ko bataaya k haqeeqat mein ye parody JOHN ELIA ki shaairi k hawaalay say banaai gai hai jo k kam hi logon k samhaj mein aati hai or yehi wajha hai k JOHN ELIA ko wo muqaam nahi mill saka jis k wo haq-daar thay.

Aaj main bohat udaas hoon, aaj JOHN ELIA ki shaairi k andaaz per banaai hui wo maqbool parody jhon aliya ki talkh nawaai ki soorat mujh per aik alag andaaz say hamla aawar hai.

Kya main is mazaahiya parody ki bohat hi udaas parody likh sakta hoon ?
Kya ya main likh sakta hoon wo alfaaz jo qaatil bhi hein, dil-daar bhi ?
Ik khudkushi kernay waalay shakhs k ehsaas ko samaanay waalay wo alfaaz jo kuch kehtay huway kuch poochtay hein or likh jaatay hein is terhan k …..

KYA YE JANAM HUA TAMAAM ?
HAAN, YE JANAM HUA TAMAAM

KYA WO DERD GUZER GAYE ?
HAAN, HAAN WO DERD GUZER GAYE

Kya is k baad bhi kuch likha jaa sakta hai ?


Meri aap sab hi logon say derkhuwaast hai k ager aap JOHN ELIA ka koi kalaam share kerna chaahtay hein to mujhay zaroor aagaah keejiye, main aap sab k saath wo kalaam zaroor share karoon ga bhalay aap k zehan mein kisi aik ghazal k kuch ash’aar hi kiun na hon ya phir kisi nazm k tootay huway kuch misray, aap sirf mujhay aagaah keejiye k aap JOHN ELIA ka kon sa kalaam perhna chaahtay hein. Main aap ko yaqeen dilaata hoon k aap ki khuwaahish k mutaabiq main wo kalaam aap tak zaroor pohanchaaoon ga.

Taalib-e-duA
Mohammad Owais Sheikh

ROSE 07-06-2011 06:33 PM

Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
 
very good shairing

AYAZ 07-06-2011 06:47 PM

Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
 
her baar mere saamne aati rahi ho tum
her baar tum se mil k bichharta raha huun main
tum kon ho yeh khud bhi nahi janti ho tum
main kon huun yeh khud bhi nahin janta huun main

Hope you can share this one

Owi 07-06-2011 06:52 PM

Re: -:||:- John Elia -:||:-
 
Thankx Rose And Ayaz
Well Ayaz Bro Aap ki ye Wish Main Abhi Poori Ker Dayta Hoon :)

Owi 07-06-2011 07:05 PM

-:||:- SazA By John Elia -:||:-
 
On Your Request Ayaz


-:||:- SazA -:||:-


Her baar meray saamnay aati rahi ho tum
Her baar tum say mill k bicherta raha hoon main
Tum kon ho ye khud bhi nahi jaanti ho tum
Main kon hoon ye khud bhi nahi jaanta hoon main
Tum mujh ko jaan ker hi pari ho azaab mein
Or is terhan khud apni saza ban gaya hoon main

Tum jis zameen per ho main is ka KHUDA nahi
Pas sar-ba-sar aziyat-o-aazaar hi raho
Bayzaar ho gai ho bohat zindagi say tum
Jab bas mein kuch nahi hai to bayzaar hi raho
Tum ko yahaan k saaya-o-pertuw say kya gharaz
Tum apnay haq mein beech ki deewaar hi raho

Main ibtaydaa-e-ishq say bay-mahar hi raha
Tum intayhaa-e-ishq ka mayaar hi raho
Tum khoon tookti ho ye sun ker khushi hui
Is rung is adaa mein bhi pur-kaar hi raho

Main nay ye kab kaha tha mohabbat mein hai nijaat
Main nay ye kab kaha tha wafa-daar hi raho
Apni mataa-e-naaz lutaa ker meray liye
Bazaar-e-iltayfaat mein naadaar hi raho

Jab main tumhein nishaat-e-mohabbat na day saka
Ghum mein kabhi sukoon-e-rafaaqat na day saka
Jab meray sab chiraagh-e-tamanna hawa k hein
Jab meray saaray khuwaab kisi bay-wafa k hein
Phir mujh ko chaahnay ka tumhein koi haq nahi
Tunha Karaahanay ka tumhein koi haq nahi.

PRINCE SHAAN 07-06-2011 07:13 PM

Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
 
Zaberdast.........bahut khoob...........very nie sharing

QUEEN OF HEARTS ... 07-06-2011 07:21 PM

Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
 
ager mein sach kahun to meinay aaj zaindagi mein pehli bar parha hai in kay baray mein
Bohat acha lagaa parh kay .. really beautiful sharin'
thanks owi fo sharin ' ...

QUEEN OF HEARTS ... 07-06-2011 07:23 PM

Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
 
Main nay ye kab kaha tha mohabbat mein hai nijaat
Main nay ye kab kaha tha wafa-daar hi raho
Apni mataa-e-naaz lutaa ker meray liye
Bazaar-e-iltayfaat mein naadaar hi raho


Just amazin' (y)

Owi 07-06-2011 07:23 PM

Re: -:||:- John Elia -:||:-
 
Thankx Shaann
And Thankx Alot Queen :)

life 07-06-2011 07:52 PM

Re: -:||:- jhon aliya -:||:-
 
buhat khobsurat kavash hai





ہجر کی آنکھوں سے آنکھیں ملاتے جائیے
ہجر میں کرنا ہے کیا یہ تو بتاتے جائیے

بن کے خوشبو کی اداسی رہیے دل کے باغ میں
دور ہوتے جائیے, نزدیک آتے جائیے

جاتے جاتے آپ اتنا کام تو کیجیے مرا
یاد کا سر و ساماں جلاتے جائیے

رہ گئی امید تو برباد ہو جاؤں گا میں
جائیے تو پھر مجھے سچ مچ بھلاتے جائیے

زندگی کی انجمن کا بس یہی دستور ہے
بڑھ کے ملیے اور مل کر دور جاتے جائیے

آخری رشتہ تو ہم میں اک خوشی اک غم کا تھا
مسکراتے جائیے, آنسو بہاتے جائیے

وہ گلی ہے اک شرابی چشم کافر کی گلی
اس گلی میں جائیے تو لڑکھڑاتے جائیے

آپ کو جب مجھ سے شکوہ ہی نہیں کوئی تو پھر
آگ ہی دل میں لگانی ہے لگاتے جائیے

کوچ ہے خوابوں سے تعبیروں کی سمتوں میں تو پھر
جائیے پر دم بہ دم برباد جاتے جائیے

آپ کا مہمان ہوں میں آپ میرے میزبان
سو مجھے زہرِ مروت تو پلاتے جائیے

ہے سرِ شب اور مرے گھر میں نہیں کوئی چراغ
آگ تو اس گھر میں جانا نہ لگاتے جائیے


جون ایلیا


All times are GMT +5. The time now is 06:22 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.