![]() |
-:||:- Tamaam Umer Ummeedon K Dermiyaan Guzri -:||:-
-:||:- Tamaam Umer Ummeedon K Dermiyaan Guzri -:||:- Ajeeb karb mein guzri, jahaan jahaan guzri Agerchay chaahnay waalon k dermiyaan guzri Tamaam umer jalaatay rahay chiraagh-e-ummeed Tamaam umer ummeedon k dermiyaan guzri Guzer gai jo teray saath, yaad-gaar hai wo Teray baghair jo guzri, balaa-e-jaan guzri Mujhay sukoon mayassar nahi to kya ghum hai Gulon ki umer to kaanton k dermiyaan guzri Ajeeb cheez hai ..... ye gerdish-e-zamaana bhi Kabhi zameen pay, kabhi misl-e-aasmaan guzri. |
-:||:- Zindagi Chal K Zara Mout Ka Dam-khaM Dekhein -:||:-
-:||:- Zindagi Chal K Zara Mout Ka Dam-khaM Dekhein -:||:- Dil k sunsaan jazeeron ki Khaber laaye ga Derd pehloo say judaa ho k kahaan jaaye ga Kon hota hai kisi ka shab-e-tanhaai mein Ghum-e-furqat hi Ghum-e-ishq ko behlaaye ga Chaand k pehloo mein dam saadh k rotii hai kiran Aaj taaron ka fusoon Khaak nazer aaye ga Raakh mein aag dabi hai Ghum-e-mehroomi ki Raakh ho ker bhi ye sholaa hamein sulgaaye ga Waqt Khaamosh hai roothay huway yaaron ki terhan Kon lou daytay huway zakhmon ko sehalaaye ga Zindagi chal k zara mout ka dam-kham dekhein Werna ye jazbaa lehad tak hamein lay jaaye ga. |
-:||:- Dukh Nay Meray Ghar Ka Rasta Dekh Liya Hai -:||:-
-:||:- Dukh Nay Meray Ghar Ka Rasta Dekh Liya Hai -:||:- Shaayad us nay mujh ko tunha dekh liya hai Dukh nay meray ghar ka rasta dekh liya hai Apnay aap say aankh chupaaye phirti hoon main Aainay mein kis ka chehra dekh liya hai Ab bhi sapnay boye to eemaan hai us ka Us nay in aankhon mein sehra dekh liya hai Us nay mujhay dar-asal kabhi chaaha hi nahi tha Khud ko day ker ye bhi dhoka dekh liya hai Us say miltay waqt ka rona kuch fitri tha Us say bicher jaanay ka nateeja dekh liya hai Rukhsat kernay k aadaab nibhaanay hi thay Band aankhon say us ko jaata dekh liya hai. |
-:||:- Hamaaray Sheher Mein Utra Kamaal Ka Mosam -:||:-
-:||:- Hamaaray Sheher Mein Utra Kamaal Ka Mosam -:||:- Firaaq-e-yaar ki baarish, malaal ka mosam Hamaaray sheher mein utra kamaal ka mosam Wo ik dua jo meri naa-muraad lout aai Zabaan say rooth gaya phir sawaal ka mosam Bohat dino say meray zehan k dareechon mein Theher gaya hai tumhaaray khayaal ka mosam Jo bay-yaqeen hon bahaarein ujar bhi sakti hein To aa k dekh lein meray zawaal ka mosam Mohabbatein bhi teri dhoop chaaon jaisi hein Kabhi ye hijr to kabhi wisaal ka mosam Koi mila hi nahi jis ko sounptay ..... Hum apnay khuwaab ki khushboo khayaal ka mosam. |
Re: -;||:- Udaasi Theher Jaati Hai -:||:-
-:||:- Khirki Chaand Kitaab Or Main -:||:- Khirki, chaand, kitaab or main Muddat say ik baab or main Shab bhar khelein aapas mein Do aankhein, ik khuwaab or main Mouj or kashti saahil per Deriyaa mein gardaab or main Shaam, udaasi, khaamoshi Kuch kankar taalaab or main Her shab pakray jaatay hein Gehri neend, teray khuwaab or main. |
-:||:- Yaar K Ghum Ko Ajab Naqsh-gari Aati Hai -:||:-
-:||:- Yaar K Ghum Ko Ajab Naqsh-gari Aati Hai -:||:- Yaar k ghum ko ajab naqsh-gari aati hai Poor poor aankh ki maanind bhari jaati hai Bay-ta-alluq na hamein jaan k hum jaantay hein Kitna kuch jaan k ye bay-khabri aati hai Is qadar goondhna perti hai lahoo say mitti Haath ghul jaatay hein phir kooza-gari aati hai Kitna rakhtay hein wo is sheher-e-khaamoshaan ka khayaal Roz ik naao gulaabon say bhari aati hai Zindagi Kaisay baser hogi k hum ko ..... Saber aata hai na aashufta-sari aati hai. |
Re: -;||:- Udaasi Theher Jaati Hai -:||:-
waahhhh very beautiful poetry
creative work T4 S |
Re: -;||:- Udaasi Theher Jaati Hai -:||:-
wowwwwwwwwwwwwww aawsum work :) creative nd cOOl |
Re: -;||:- Udaasi Theher Jaati Hai -:||:-
Kamal .. Owais Bhai Weld0ne .. !! |
Re: -;||:- Udaasi Theher Jaati Hai -:||:-
Bohat umda Owi , Nice stuff .
T4S |
All times are GMT +5. The time now is 05:46 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.