![]() |
hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya pukarte rahe mahafuz kishtiyon vale main dubte hua dariya k par utar bhi gaya ab ehtiyat ki divar kya uthate ho jo chor dil main chupa tha vo kam kar bhi gaya main chup raha k is main thi afiyat jan ki koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya sulagate sochte viran mausamon ki tarah kara tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya jise bhula na saka us ko yad kya rakhta jo nam dil main raha zehan se utar bhi gaya phati-phati hui ankhon se yun na dekh mujhe tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya magar falak ki adavat usi k ghar se na thi jahan 'Faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya |
Re: hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
bohut umdha
|
Re: hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
Thanks
|
Re: hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
NiCe..
|
Re: hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
WoOoow
Nice ...!! |
Re: hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
very good
|
| All times are GMT +5. The time now is 09:43 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.