![]() |
Bheegi JANUARY phir laut aee hai
BHEEGI JANUARY LOT AEE HAI
Wohi galiyan wohi koochay Wohi sardi ka mausam hai Esi andaz say apna nizam-e-zeest Barham hai Yeh haseen ittifiaq hai k Bikhri chandni bhi hai Wohi har simt veerani, Udasi, tashnagi sii hai Wohi hai bheer sochon ki Musafir ajnabi aur Dasht ki pinhaiyan phir say Wohi tanhaiyan phir say Mujhay sab yaad hai Kuch saal pehlay ka yeh qisa hai Wohi lamha tu veeranay ka Ik abaad hissa tha Kisi nay rat ki tanhai mein Sargoshiyan ki thii Kisi ki narz guftari nay dil ko Loriyan di thii Kisi nay meri tanhai ka sara Kurb banta tha Kisi nay raat ki chunri mein roshan chand Taanka tha Wo jis k honay say zindagi Naghma sarai hai Usay kehna k bheegi JANUARY lot Aee hai Bheegi JANUARY phir laut aee hai |
khoob .................
|
thanks..
|
Re: Bheegi JANUARY phir laut aee hai
bohat hi grt janab
Mahi |
Re: Bheegi JANUARY phir laut aee hai
January Nay Bohat Zulm Kiye Hein Mujh Per :(
|
| All times are GMT +5. The time now is 05:06 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.